Video Info:
Noha | Ghareeb Bhai ka chehlum
Reciter | Mohammad Ali Moshi Baltistani
Poetry | Nayab Hallauri
Composed By | Nayar Abbas (Skardu)
Translation | Meesam Ali Mehdi
Audio | Studio 92
Chorus | Shabih & Team
Video | Mahmood Achoali
Creatives | Shuja Gfx
Noha 2021| CHEHLUM MANANE AYI HU | Mohammad Ali Moshi Baltistani | ARBAEEN Noha 2021 |
CHEHLUM MANANE AYI HU LYRICS
GHAREEB BHAI KA CHEHLUM
Ghareeb bhai ka chehlum manane ayi hu
Guzargayi jo qayamat *2 batane ayi hu
Ey karbala mere bhai ko tu khabar karde
Mai chuth ke shaam ke tarik qaid khane se
Lahad pe ashko ki chadar*2 chardhane ayi hu
Ghame hussain mai yu zindagi guzarungi
Libase sog badan se nahi utarungi
Kassam ye lashaye ghazi pe khane ayi hu
Sukoon milta tha jisko pidar ke seene par
Wo bachi margayi zindane shaam mai gut kar
Mai uski pyaas ka kissa sunane ayi hu
Jo sher\Sheer sogaya darya pe haath katwa kar
Wo jiske naam se larza tha shaam ka lashker
Rasan ke daagh usi ko dikhane ayi hu
Hai kis jaga mere qadiyal jawaan ka lasha
Koyi bataye kaha hai hussain ka shehzada
Mai apne sheru ka shana hilane ayi hu
Jo sorahahe teri goud mai ey dashte balaa
Jalaa hai khemu ke hamrah jiska gehwara
Mai dou ghadhi ise jhula jhulane ayi hu
Sahara do mujhe abbas qassimo akber
Mai aaj rozaye shabbir ki bina rakhker
Zameen ko arshe muala banane ayi hu
Na seh sakungi judayi ki zarbate kari
Muja wari mai guzarungi zindagi saari
Ye azm leke lahd ke sarhane ayi hu
Yaha ke baad agar hogaya watan jana
Qadam qadam pe nazar ayega aza khana
Mai aaj halqaye matam banane ayi hu
Bayaan karti hai moshi ye zainabe dilgeer
Gawaa jiske hain nayaab khud najaf ke ameer
Ey karbala wohi waada nibhane ayi hu
0 Comments