Header Notification

Allah Ka Zikr | Mola Ali (as) Ka Qol!!!

 

Allah Ka Zikr, Mola Ali (as) Ka Qol, This video the beautiful motivational video Another good informative video about, Allah Ka Zikr aur Mola Ali as ka Qol. What is Allah ka zikr or Zikr? Allah Ka Zikr means “remembrance of Allah” and in Islam, Zikr symbolizes remembrance of Allah and a call to Him. The more we remember Allah, the closer we get to Allah. Dhikr produces love for our Creator, who is God. The abundance of dhikr is a source of salvation and success for a Muslim. Zikr is also written as Zikr (remembrance or Zikr or Dhikr), which is a formal prayer or ritual performed by Muslim scholars (Sufism) for the purpose of glorifying God and attaining spiritual perfection. Zikr, like a beautiful idea, is a method that Sufi saints or saints can use to seek union with God.

Allah Ke Zikr Ke Bare Mein Mola Ali (as) Ka Qol!!!

Allah ke zikr ke bare mein aik chota sa Qol hai Mola Ali (as) ka "Jo Allah Taala ko bhol gaya wo goya apne ap ko bhol gaya". Allah Taala ko kis tarhan bhola jata hai? Allah Taala farmata hai ke mere Subho Sham Zikr karo, har lahma har ghari Allah ka Zikr karo. Mere mehboob bande aise bhi hain jin ko kharido farokh Zikr se Ghafil nahi karti. Allah ka Zikr kasrat se karo, Allah ka zikr subho sham karo, har lahma har ghari karo, koi lamha Allah ke Zikr se ghafil na ho, ye wo log hain jo Allah ko Yad karte hain. Ab Subho Sham 24 ghante Zikr kaise ko ga? Moulana Jalaluddin rumi farmate hai: apne Qalb ka intakhab kar lo, Qalb ke zarye se ap har lamha har ghari har waqt Allah ka zikr kar sakte ho. To Allah ko bholna kiya hai? Allah ko bholne ka matlab hai dil na murda ho jana Qalb sanobri ho jana dil ka khatam ho jana, dil ki taleem se door ho jana, ye Allah ko bholna hai. Mola Ali as ka Qol hai ke jo Allah ko bholna hai goya apne ap ko bholna hai, yani apni silahiyaton ko khatam kar dena hai. Allah ne jo ap ke andar silahiyaten rakhi hain "Qalb" ki sorat mein, aur 7 Lataif ki sorat mein, un ko zaya kar dena. Agar Allah ko Yad karte hain, Allah ka Zikr karte hain, is se Allah ka faida nahi balke insan ka apna faida hai. Insan ka apna "Batin" roshan hota hai aur apne 7 Lataif zinda hote hain. To Allah ko yad karna yani Allah ka Zikr karna goya apne ap ki pehchan hai. Aur Jis ne apne ap ko pehchan liya us ne "Rab" ko pehchan liya. Aur apne ap ko pehchanne ka jo rasta hai wo Qalb ka rasta hai, Aur Qalb ko zinda karne ka rasta "Zikr e Ilahi" ka rastah hai, yani apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka Zikr karna hai. Khuda ko na bholen, Khuda ko yad karne ka wasila Allah ka Zikr hai, yani Zikr e Qalb hai Zikr e Khafi hai. Aur yehi wo Zikr e Khafi hi Zikr e Qalb hai, jo insan ki apni pehchan ka zarya ban jata hai, Aur apni insan ki pehchan Khuda ki pehchan ka zarya ban jati hai. To koshish kiya karo mere aziz dosto ke apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka Zikr kiya karin aur yehi Mola Ali (as) ka Qol bhi hai

Post a Comment

0 Comments