Editors' Choice

TERWAAN WAAR LYRICS Nohay 2021 | TERWAAN WAAR | Joan Rizvi | New Noha 2021 | Maqtal | Shahadat e Imam Hussain Noha 2021

 

Nohay 2021 | TERWAAN WAAR | Joan Rizvi | New Noha 2021 | Maqtal | Shahadat e Imam Hussain Noha 2021

Video Details!
Reciter | Joan Rizvi
Poetry | Ustad Hassnain Akbar
Composition | Ustad Akbar Abbas Sb
Chorus | Munawwar Ali, Rajab Ali, Ghulam Abbas, Amanat Ali
Camera | Farhan Naqvi (Uk)
Video Edit | Sk Films
Audio | Moodlab Studio (UK)
Audio Mixing and Mastering | ODS Karachi
Graphics | Yawar Damani

On the Martyrdom of Hazrat Imam Hussain(as) , Many condolences to Prophet Muhammad (saww) , Hazrat Fatima Zahra (sa) and especially to Imam e Zamana (AJF).

Nohay 2021 | TERWAAN WAAR | Joan Rizvi | New Noha 2021 | Imam Hussain | Shahadat e Imam Hussain Noha

TERWAAN WAAR LYRICS

zakhmoon sa jism choor choor tha Zahra k chain ka 
sajday main sir tha jab kay shahay mashriqain ka 
aur pusht pa sawar tha atil Hussain ka 
bhai behan ko dekh k yeh bain kerta tha 

tairwaan war hai yeh khanjar ka 
ab tu kahimoon main lout ja zainab 

sir mera tan sa ho raha hai juda
ab tu khaimoon main lout ja zainab

mujhpa khanjer sa koi chalta hai 
tere ronay pa shimr hasnta hai 
taira zarboon sa berh k dukh yeh hai 
woh tujha bar bar takta hai
main aziyat yeh seh nahi sakta
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

mere ruksat ka waqt aa phaucha 
rafta rafta yeh jan nikalti hai 
mere ankhoon main khaimoon ki tasveer
kabhi banti kabhi bigarti hai 
bujhnay wala hai Syeda ka diya
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

aur kuch pal main bibion k liya 
rassian le kay anay wala hai 
ab to Abbas to bhi nahi Zainab
aur yeh khamimay jalanay wala hai 
kaun rokay ga shimar ka rasta 
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

Ma ko mara tha jab layeenon na 
dard woh aaj tak nahi bhoola
mere jeetay gi koi maray tujha
main yeh bardhast kerna paonga
wasta data hon main amma ka 
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

janta hon kay tum yeh sochti ho 
mujhko khaimoon main lekay jaogi
humnay mil ker uthaya Akbar ko 
kese tanha mujha uthaogi
rehnay do dhast main mera lasha
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

jaltay khaimoon main kaun baqi hai 
mere betay ko jo sambhalay ga
tum agar mar gayeen to shoolay sa
kaun sajjad ko nikalay ga 
kuch bhi ho jayay tujhko hai jeena
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

ro kay akbar Hussain kehtay thay
war poray hua hain khanjer kay 
mera sajda bhi hogaya hai ada
bhai ko aey behan ijazat day
aagayay mujhko lanay khud nana 
ab tu khaimoon main lout ja Zainab

Comments