Header Notification

Shamiyo Pathar Na Maro Lyric - Shamiyo Pathar Na Maro | Asim Lilani New Noha 2021 | Bibi Zainab Noha | Muharram 1443


Shamiyo Pathar Na Maro | Asim Lilani New Noha 2021 | Bibi Zainab Noha | Muharram 1443

All praise to Almighty Allah, the entirely merciful, the especially merciful.
Shamiyo Pathar Na Maro | Asim Lilani New Noha 2021 | Muharram 1443
Title: Shamiyo Pathar Na Maro
Album: Muharram Noha 1443/2021
Poet: Zeeshan Abidi
Composition: Own Rizvi
Chorus: Own Rizvi & Team
Audio: ODS 
Video: Zahid Masoom Rizvi
English subtitles & Translation: Ahmed Hussein Virani 

Shamiyo Pathar Na Maro Lyrics

Shamiyo pathar na maro Zainabe Dilgeer hu me
Dukhtare Shere Khuda hu Khwahare Shabbir hu me

Qaid ho kar be rida jab Shaam pohcha qaafila
Shamiyon ki aurton se roke Zainab ne kaha
Ek rida koi urhaade vaarise tatheer hu me

Naam jab poocha kisi ne Zainabe dilgeer se
Haye Zainab ne kaha ye uski jaanib dekh ke
Naam Zainab hai mera Abbas ki hamsheer hu me

Shehr e Kuufa me ye Zainab ne kiya rokar bayan
Shahzadi thi jahaan ki aaj hoon qaidi wahan
Kufiyon pehchaano binte Shahe Khybar geer hu me

in musalmano ko haye sharm kyu aati nahi
Mere hathon me rasan hai sar pe chadar bhi nahi
Bhool betha hai zamana deen ki tokeer hu me

Raah me saidaniyo ko kyu satate ho kaho
Kyu Nabi ki betiyon ko yun rulate ho kaho
Haan wakaare kibriya Quran ki tafseer hu me

Shaam ke darbaar me Sajjad ne sab se kaha
Me Mohammad ka nawaasa me Ali ka laadla
Koi itna to kahe kya qabile zanjeer hu me

Jab bhi baaghi ki behen aakar kisi ne kehdiya
Bol uthi Zeeshan o Asim dukhtare shere Khuda
Usko baaghi nah kaho jis bhai ki hamsheer hu me

Post a Comment

0 Comments