Noha | Sajjad kabhi sham ka manzar nahi bhoole
Reciter | Ahmed Raza Nasiri
Composition | Mohammad Ali Moshi Baltistani & Ahmed Raza Nasiri
Poetry By | Yasir Abbas Shah
Chorus | Arif Baltistani, Tariq Purkistani, Mir Basharat Baltistani, Ahmed Raza Nasiri
Audio Recorded By | ODS KARACHI
Director | Mahmood Ali Achoali
Cameraman | Amir Jokhio
Edit | Turab Zaidi
Translation | Sister Zaynab Hyder
Creatives | AR Graphics
Special thanks | Syeda NaqviImam Sajjad Noha 2021 | Noha Imam Sajjad 2021 | Sajjad Kabhi Sham Ka Manzar Nahi| Ahmed Raza Nasiri Nohay 2021 | 25 Muharram Noha 2021 | Shahadat Imam Sajjad Noha 2021 | Imam Zain ul Abideen
SAJJAD KABHI SHAM KA MANZAR NAHI BHOOLE LYRICS
Sajjad kabhi sham ka manzar nahi bhoolay
Wo nok e sina pr sar e sarwar nahi bhoolay
Sajjad ko gham toq or bairi ka nhi hai
Bazar me Zainab ka khula sar nahi bhoolay
Wo bhool gaye pusht pe durray jo lagay thay
Zainab ne jo khai hain wo pathar nahi bhoolay
Kaano se utaara nahi noocha gaya jinko
Masoom Sakina ke wo gohar nahi bhoolay
Jis gham me sada dhoom me bethi rahi madar
Moula wo sina par sar e Asghar nahi bhoolay
Manga tha kanizi me Sakina ko jahan par
Taa umr wo darbar e sitamghar nahi bhoolay
Wo sar ke jo naizay pe theherta hi nhi tha
Moula sar e Abbas e dilawar nahi bhoolay
Zindan ke andhero me jissay dafan kia tha
Wo khoon me dhobi hoi khwahar nahi bhoolay
Naaqay se sar e rah gira jab koi Bacha
Har baar giri'n Zainab e muztar nahi bhoolay
Kiun Yasir o Ahmed na kren sham ka pursa
Jb ke issay parday me bhi rehbar nahi bhoolay
0 Comments