Header Notification

Lash E Akbar Pe Tha Shabbir Ka Noha Abbas Lyrics Noha - Lash E Akbar ع Pe Tha Shabbir Ka Noha Abbas ع | Kashif Zaidi New Noha 2021 | Nohay 2021-1443

 

Lash E Akbar ع Pe Tha Shabbir Ka Noha Abbas ع | Kashif Zaidi New Noha 2021 | Nohay 2021-1443
➡️ Noha Title :- Lash E Akbar ع Pe Tha Shabbir Ka Noha Abbas ع
➡️Reciter By:- Kashif Zaidi
➡️Kalam:- Danish Ali 'Danish' (Meeruthi)
➡️Islamic Date :- Muharram 1443
➡️Design By :- Mohsin Raza
➡️Audio By :- Javed Azad (Meerut)
➡️Video By :- AL Qaim Studio
➡️Edit By :- Ali Hasan Rizvi
➡️ Organized By :- Faizal Zaidi
➡️ Special Thanks :- Raju Zaidi & Faiz Zaidi
➡️Posted By :- @Hussaini Azadari Network Official 

Lash E Akbar Pe Tha Shabbir Ka Noha Abbas Lyrics Noha


Lash E Akbar ع Pe Tha Shabbir Ka Noha Abbas ع

Mujhko Do Aake Mere Bhai Sahara Abbas ع

Ho Chuki Thi Tere Jane Se Qamar Kham Meri.
Iske Jane Se Bhi Binayi Hue Kam Meri.
Kya Karu Kuch Bhi Dikhai Nhi Deta Abbas ع

Ya Ali Keh Ka Mai Barchi Ko Nikalunga Abhi.
Kis Tarha Tute Hue Dil Ko Sambhalunga Abhi
Dekhna Tum Zara Mera Kaleja Abbas ع.

Iske Lashe Pe Mai Gir Gir Ka Shambhalta Aaya.
Jab Na Uttha Gaya To Ghutnio Chalta Aaya 
Jab Gira Mai To Tumhe Mene Pukara Abbas ع. 

Kis Tarha Pyar Se Zainab Ne Hai Paka Isko 
Apni Ankho Ka Sada Smjha Ujala Isko 
Jab Vo Puchygi Mai Kya Usse Kahunga Abbas ع

Sath Ab Chor Gaya Raj Dulhara Mera 
Na To Tum Ho Na Koi Or Sahara Mera 
Kese Utthega Jawa Laal Ka Lasha Abbas ع

Haye Afsos Na Sughra Se Mila Paya Isse
Ek Katra Bhi Na Pani Ka Pila Paya Isse
Jab Ka 2 4 Kadam Pe Hi Tha Dariya Abbas ع

Kese Lela Ko Dikhau Mai Janaza Iska 
Kese Dekhygi Vo Is Haal Mai Lasha Iska 
Dil Phata Jata Hai Ye Soch Ka Bhaiyya Abbas ع

Noha Danish Ne Akidat Se Likha Hai Jabse 
Har Ibadat Mai Ye Kashif Ki Dua Hai Tab Se
Apne Roze Pa Hame Jald Bulana Abbas ع
🔜Hamara Maqsad Hai Faroghe Azadari, Bibi Fatima Zahra s.a. Ki Khushnoodi Malhooz-e-Khatir Hai. 
Isi Sabab Se Mustaqil Apni Naukri ko Anjam de raha hoon. Nauha, Majlis, Mahfil aur Jashn Ye Sabhi Momeneen ke darmiyan Pahucha Sakoon Isiliye Mustaqil Ghamzan Hoon. Mera Mukhtasar Tarruf Ye Hai ki Ali a.s. ke Dar ka Gada Hoon, Dar-e-Ali (a.s.) Se Bheek Milti hai Jisse Meri Family Bakhoobi Chal Rahi Hai. Khuda ka Lakh Lakh Karam Hai.🔚
🤲🤲Iltemas-e-Dua🤲🤲

Post a Comment

0 Comments