Noha Shahadat Imam Sajjad | Bimar Ka Janaza | Ameer Hasan Aamir Nohay 2021 | 25 Muharram Noha 2021
Title - Mazloom Ka Janaza Lachar Ka Janaza (25 Muharram Noha)
Reciter - Safeer E Aza, Syed Ameer Hasan Aamir
Poet - Akhtar Sirsvi
Chorus - Amanat Ali Khan(Sonu), Ghulam Abbas Khan (Monu), Rajab Ali Khan, Munawwar Ali
Year - Muharram 2021/1443 Hijri
Audio - ODS (Audio Mix & Master Omar Quraishi)
Edit by - Azmat Hyder
Video - @Azadari Chitora
Noha Shahadat Imam Sajjad | Lachar Ka Janaza | Ameer Hasan Aamir Nohay 2021 | 25 Muharram Noha 2021
Lachar Ka Janaza Lyrics
Mazloom ka janazah Lachaar ka janazah
Ahista se uthao bimar ka janazah
Mazloom ka janazah Lachaar ka janazah
Khaye hain taazyane zakhmi hai pusht saari
Hain sheh ke ghum mai ab bhi ankhun se ashk jaari
Tasweer e ghum bana hai ghumkhwar ka janazah
Ummat ne zulm dhaye kufe ki reh guzar me
Jisko qadam qadam per loota gaya safar me
Hai aese qafle ke salar ka janazah
Ehl e aza tadap kr ansu baha rhe hain
Taboot ko ye kehkr kandha laga rhen hain
Kese uthayen apne sardar ka janazah
Bharne ko bhar gye hain sb zakhm pindliyun ke
Lekin nishan ab bhi baqi hain baidiyun ke
Dekho Hussain apne dildar ka janazah
Saidaniyan tadap kar sar apna peet ti hain
Sa'nse'n tu ruk gayi hain ankhen khuli hoi
hain Baqir ke muntazir hai deedar ka janazah
Ankhun se khon tapka tharra gaya kaleja
Baqir ke dil se poucho kese lehd me rkkha
Abid ka muttaqi ka dee'n daar ka janazah
Aamir bhi ro rha hai akhter ki aankh num hai
Beemar e karbla ka sb ke dilu me ghum hai
Nazru me ghomta hai khud daar ka janazah
0 Comments