Header Notification

Haay Us Waqt Main Shaheed Huwa Lyrics - Haay Us Waqt Main Shaheed Huwa | Nohay 2021 | Syed Ahsan Abbas Baquri | Moula Sajjad Noha 2021

 

Haay Us Waqt Main Shaheed Huwa | Nohay 2021 | Syed Ahsan Abbas Baquri | Moula Sajjad Noha 2021
 👉🏻Title: HAAY US WAQT MAIN SHAHEED HUWA
👉🏻Reciter: Syed Ahsan Abbas Baquri
👉🏻Poet: Asim Ali Khan (Shabaz)
👉🏻Composition: Hussain Al Hussain (Australia)
👉🏻Chorus Sangat: Munnawar Ali Khan , Rajab Ali Khan , Amanat Ali Khan , Ghulam Abbas 
👉🏻Audio Recording Amir Qurashi 
👉🏻Audio Mixing: Omar Qurashi Studio (KHI)
👉🏻Video & Editing By: SAAB Productions (Syed Ali Abbas Baquri)
👉🏻Graphics: SAAB TEAM
👉🏻Arranged by: Syed Raza Hussain Lutf
👉🏻Media Partner: SNS AZADARI
HAAY US WAQT MAIN SHAHEED HUWA.
(GIRYA E ABID E BEEMARa.s)
New Noha: 4th Imam ZAIN UL ABIDEEN MOULA SAJJAD(a.s)

Haay Us Waqt Main Shaheed Huwa Lyrics


Haay Sajjad haay Sajjad

Karte the abid e bimaar ye kehkar girya
Haay us waqt mai shaheed hua

1. Khoon akbar ke kalejay se jo hota tha rawan
Haat seenay pay jigar chaak tadapta tha jawaan
Shah nay jab seenaye akbar se nikali the sinah
Haay uss waqt mai shaheed hua

2. Aisa taqseem bayabaan mein tha Qasim ka badan
Ek gathdi main diya hai usay baba nay kafan 
Chandh tukdo mein bata lasha tha paishe dulhan
Haay uss waqt mai shaheed hua

3. Thee jo sarwar pe musibat mai bataun kya bhala
Shay kay haato pay chida hai mere asghar ka gala
Apnay hi chehre pay baba nay usi khoon ko mala
Haay uss waqt mai shaheed hua

4. Jis ghadi khoon tha kano se sakina ke rawaan
Aur bachi ke the galoon pay tamacho ke nishan
Woh sada deti the aao mere aamoo ho kahaan 
Haay uss waqt mai shaheed hua

5. Jub chalay shaam ki janib humay lekar aada
Aur phiraye gaye the aale nabi bepardaa
Haay abbas ka sar naizay se girjata tha
Haay uss waqt mai shaheed hua

6. Meri masoom sakina ki ye kaisi ghurbat
Usnay zindaan ke andharay mein he payee rehlat
Maine zindaan mein sakina ki banayee turbat
Haay uss waqt mai shaheed hua

7. Jabtalak saans chalegi ye hamari maul
Lab pe bas asimo ahsan ke rahe zikr tera
Hum sunate rahe beemaar kay dil ki wo sada
Haay uss waqt mai shaheed hua

Post a Comment

0 Comments