Editors' Choice

BEST NOHA LYRICS RULA KE QATAL KIYA LYRICS

Kahani Eid-al-Adha ki- Anamta Khan Lyrics | Anamta-Amaan | Eid-al-Adha Mubarak ( Aap sabko Eid-al-Adha bahot bahot mubarak.Happy Eid-al-Adha to you and your family.)

 

Song: Kahani Eid-Al-Adha Ki
Singer & Featuring: Anamta Khan
Lyricists & Music Composers: Anamta-Amaan
Music Programming Mixing & Mastering: Deepp C
Video Editing and Cinematography: Aajay Kaakkad
Kahani Eid-al-Adha ki- Anamta Khan Lyrics | Anamta-Amaan | Eid-al-Adha Mubarak

LYRICS
Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo sunlo
Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo (X2)

Allah ne Ibrahim (AS) se khwaab mein jo maanga tha
Nabi ko aazmane ka Allah ka iraada tha (X2)
Ishq-e-ilahi ki inteha dekhna chahte the
Is liye diya tha nabi ko ye farmaan

Allah ne ye hukm diya
Tha nabi ka imtehaan
Jo ho sabse dil azeez
Kardo usko qurbaan

Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo sunlo
Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo (X2)


Nabi ne socha sabse dil-azeez to hi aulaad
Par Allah ke liye to hai ye bhi qurbaan. (X2)
Bete ko Nabi ne bataya Allah ka farmaan
Bete Ismail (AS) ne bola haazir hai meri jaan

Bete ne Nabi se bola
Mere haathon pairon ko baandh dein
Kahin Rehem na mujhpe aa jaaye
Iss baat pe bhi dhyaan dein

Aankhon pe patti baandh dein
Aur kardein mujhko qurbaan
Allah ke liye haazir hai meri jaan

Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo sunlo
Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo (X2)

Jab bete ko qurbaan kiya
Aur aankh se patti ko hataya
Ismail (AS) ko Nabi ne apne paas khada paaya

Ibrahim (AS) ki qurbani ko Allah ne qubool kiya
Ismail (AS) ki jagah ek dumba Allah ne rakhwa diya

Phir Allah ne kaha aye mere nabi
Har saal teri qurbaani yaad rakhi jayegi
Har saal qurbaani hogi aur Eid manayi jayegi

Karo
Qurbaani apne maal ki
Qurbaani apne waqt ki
Qurbaani apne aham ki
Qurbani buri khwaishon ki  (X2)

Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo sunlo
Kahani Eid-Al-Adha ki sunlo

Comments