Recited By | Imran Datoo
Kalam Title | Hum Ghadeer Wale Hain
Poetry | Arsalan Azmi
Composition | Own Rizvi
Vocals recorded by Syed Meesam Ali Mehdi
Chorus - Own Rizvi
Eid e Ghadeer Manqabat 2021 | Hum Ghadeer Wale Hain | 18 Zilhaj Manqabat 2021 | Imran Datoo 2021 - Manqabat Imam Ali 2021 - Imran Datoo New Manqabat 2021 - 18 Zilhaj Eid e Ghadeer
MANQABAT LYRICS
Ham ghadeer waale hai
Ham ko jaanle duniya, ham ghadeer waale hai
1. Ya ali madad kehna hai hamari fitrat mei
Naam e murtaza shaamil hai har ek ibadat mei
Khauf kya hai mushkil ka, ham ghadeer waale hai
2. Hajj ka wo mahina tha, aur khum ka maidaa(n) tha
Jab nabi ke haatho(n) se murtaza bane mola
Khud nabi ne farmaya ham ghadeer waale hai
3. Geet apne mola ke gun gunate rehte hai
Naam sunke haider ka muskuraate rehte hai
Hai labo pe ye naara ham ghadeer waale hai
4. Is qadar ali par ham, aitbaar karte hai
Khuld ke gharo(n) ka ham kaarobaar karte hai
Ham se khuld le jaana, ham ghadeer waale hai
5. Dar ba dar bhatakte hai, dushman e abu talib
Sar buland hai jin par, ishq hogaya ghaalib
Shukr ka karo sajda, ham ghadeer waale hai
6. Laakh bughz e haider mei, ham pe zulm dhaaoge
Ham hai aaj bhi meesam, gar zabaan kaatoge
Dil yehi pukaarega, ham ghadeer waale hai
7. Yaad rakhna mehshar mei, baat ye meri azlaan
Dar pe rokle tumko, khuld ka agar darbaan
Muskuraake kehdena, ham ghadeer waale hai
0 Comments