Header Notification

Deen E Islam Mein Gunahgaron Ke Liye Bakhshish Ki Guarantee Kya Hai


Deen E Islam Mein Gunahgaron Ke Liye Bakhshish Ki Guarantee Kya Hai


Deen E Islam Mein Gunahgaron Ke Liye Bakhshish Ki Guarantee Kya Hai?. 
Is waqt jo dour ja raha hai us mein har banda Gunahgar hai, kuch log sochte hain ke kya humari Bakhshish ho jay gi, kyun ke Gunah bare hain, kya koi Guarantee hai ke Bakhshish ho jay gi. To aksar log Guarantee nahi de pate, Jab ke jo ye Deen e Islam hai ye Guarantee hi Guarantee hai Bakhshish ki. Aur jis bande ko khud koi Guarantee na mili hoi ho, wo kisi aur ko kya Guarantee de sakta hai. Chahe koi jinta bara hi Gunahgar ho, humare Murshid e pak ne farmaya, insan Ghustakh e Rasool na ho, aur chahe jinta bhi bara Gunahgar kyun na us ke liye Bakhshish ki Guarantee hi Guarantee hai. Bakhshish kaise ho gi, Bakhshish ka tarika kya hai? Hadith e Mubarka hai Jame Tirmizi jild no 5, Hadith no 320, Allah ta'ala ke nazdek is ke Zikr se barh kar, Yani Allah ke zikr se barh kar koi bhi chez us ke azaab se nijat dilane wali nahi hai. Jahanum ke azaab se jo bachane wali cheez hai, wo kya hai, wo Allah ka zikr hai jo jahanam ke azaab se bachati hai, aur Allah ka zikr hi hai jo Bakhshish ki Guarantee hi Guarantee hai. Hadith Jame Tirmizi jild no 3 Hadith No 332, Hazrat Ans (RA) se riwayat hai, Rasool Allah Saww ne irshad farmaya: Allah Ta'ala Farmay ga, dozakh, jahanam se aise shakhs ko nikal do, jis ne aik din bhi mera zikr kiya ho, ( means ke jis ne aik din bhi Allah ka zikr kiya ho) ya kisi maqam par baith ke dara ho. Aik din bhi kisi ne Allah ka zikr kiya hai to Allah Ta'ala farmay ga ke us ko Bakhsh do. Ye to hain Hadith e mubarka Bakhshish ke hawale se, ab Bakhshish ka mayar kya hai ke jis se Guarantee mil jay Gunahgar ko, chahe jitna bara Gunahgar ho us ki Bakhshish ke liye Guarantee kya hai? wo hai Allah ka zikr, jis ne Allah ka zikr kiya us ko Guarantee mil jay gi. Quran e pak mein Allah Ta'ala farmata hai, Surah Al-E-Imran hai, Ayat No 135, Ab is mein jo Gunahgar hain un ki categories hain, aur wo jo behayai ya apni janon par zulm karin, yani ke jo apne Nafson par zulm karte hain Gunah karte hain jitne bhi bare Gunah kar liye hain, to un ki Bakhshish kaise ho gi? Allah ka zikr kar ke apni mafi talab karin, aur Gunah kon Bakhshe ga siwae Allah ke. Yahi ke Allah Ta'ala ne mayar kya de diya, ke jitna bhi Gunahgar hai, aa jay Zikr kare Bakhshish hi bakhshish hai. Humare Murshid e Pak ne kya farmaya? Hum zikr dete hain agar dil ki dharkan ne Allah ka zikr karna shoro kar diya, dil ki dharkan "Rab" Allah ke naaz se dharakna shoro ho gai, Ya Dil se Allah ke Zikr ki awaz ana shoro ho gi, ya dil ke opar lafz "Allah" likha nazar aa gaya, to Bakhshish ki Guaranty hi Guarantee hai. Humare Murshid e Pak ne farmaya ke Deen e Islam Bakhshish ki Guarantee hi Guarantee hai. Hum tumhein Zikr dete hain agar dil ki dharkan ne "Rab" ke naam ko qabool kar liya, to ye Rab ki raza hai phir Bakhshish hi Bakhshish hai chahe kitna hi bara Gunahgar kyun nahi. Khwaja Moinuddin chishti Rehmatullah Alaih farmate hain: jis ke dil ki dharkan ne aik bar bhi Allah ka zikr kar liya Allah hoo kar liya to us ke 80 sal ke Gunah maf ho jain gay, kyun? kyun ke dil zikr us waqt kare ga jab Allah chahe ga, jab Allah ki taraf se manzori aa gai to phir Guarantee hi Guarantee hai aur Bakhshish hi Bakhshish hai. Ramzan ul Mubarak ka Pak mahena hai chahe koi jitna bhi bara Gunahgar kyun nahi sab ko dawat dete hain, agar ap chahte ho ko ap ko bhi Bakhish ho jaye, to Allah ne jaise Quran e Pak mein farmaya hai ke chahe koi jitna bhi bara gunahgar hai, Allah ka zikr kar ke Allah se mafi talab kar le, Allah Ta'ala us ko maf kar de ga, tarika bata dete hain azma ke dekh lein jitne bhi Gunahgar hain azma ke dekh lein. pora tarika video mein hai dekh sakte hain ap, koshish kiya karo ke mere dosro apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka zikr kiya karo. 

Post a Comment

0 Comments