Hasan ke ziker Mai jab zikr e kirdigar Kiya
Maire khuda ne use hamd mai shumar kiya
Khata mai is ko nakireen ne shumar kiya
Hasan ke ziker mai jis ne bhi ikhtisar Kiya
Khuda ka Sher hua hai apne Sher per naz
Qalam ki nok se shabbar ne jab shikar kiya
Palak jhapakte hee bad bakht ban gaya aurat
Hasan ne lehjai kun aisa ikhtiyar Kiya
Sakhi hassan ne bulaya jo apne paas mujhe
Mujhe khud apni khataon ne sharamshar Kiya
Hasan ka jhula hee dedeta us ko par lekin
Hussain ke liye fitrus ne intezar Kiya
Yeh lashe marhab o anter bataengi unhe
Hasan ke baba ne kis tarha do se char Kiya
Nabi ke deen ne Ali se Hussain tak ka safar
Hasan ke naam ki tasbeeh parh ke paar kiya
Hasan Hussain alag se teri khabar lenge
Agar Ali ke fazail pe shak ka waar kiya
Yeh zulfiqar se itra ke keh raha tha qalam
Hasan ne mujh pe tere hote ahtebar Kiya
Tabarra kerte hain khul ker hasan ke dushman per
Yeh kaam naqd Ka hai hum ne kab udhar Kiya
Bicha ke farsh e wila hum ne aaj mir Hasan
Hasan ke jashan mai qaim ka intezar kiya
0 Comments