Editors' Choice

BEST NOHA LYRICS RULA KE QATAL KIYA LYRICS

Nohay Lyrics | Abbas Kahan Ho Ajao Zainab hai pareshaan Lyrics|Moula Abbas Noha 2020

Abbas Kahaan Ho Aajao Zainab Hai Pareshaan
Rokar pukaar ti hai Ghazi ho tum kahaan
 
 
Kaisa ye aab samaa hai Hairat mein asamaa hai
Jaltay hai sare qaimay Har aankh mein dhuwaa hai
Sehmay hai sare bachay qaymo kay darmiyaan
 
 
Kehti hai ye sakina ammo mere kahaan ho
Maray tamachay zalim aakar mujhe bachalo
Kurta jala hua hai kaano se khoon rawaa
 
 
Darya pay so rahe ho kya ye tumhe pata hai
Kyu naa sunai deti bachi ki jo sada hai
Tumko pukaarti hai le le kay hichkiyaa
 
Chadar bhi cheentay hai mujhse ye aab sitamgay
Kaisay jiyegi zainab ye beredai sehkar
Beti ali ke hogai ghairon ke darmaiyaa
 
 
Sajjad e natawan ko durro ke aziyat hai
Hai hai jo unpay hoti ye kaisi musibat hai
Hatho mein hathkadi hai pairoon mein bediyaan
 
Humko yahaan mila hai pursa kuch istarha se
Dekho aseer kehkay phatar ye humko maray
Haan istaraha se hoti hai humpay saqtiyaan
 
Kaisay bayaan ho humsay purdard thaw o manzar
Zainab kay samne tha naizay pay bhai ka sar
Kehti thi ro ro zainab ay mere bhai jaan
 
Jub bhee koi sunaye wo dastan e karbal
Asim ho ya ho ahsan giriya kuna hai har pal
Phat taa hai ye kaleja sunkar wo dastaan

Comments