- Get link
- X
- Other Apps
Editors' Choice
Posted by
Sameem khan
on
- Get link
- X
- Other Apps
Manqabat Lyrics
Kahta hai ibn e Fatima ajtf chorha na jaye ga
Jhota koi bhi rahnama chorha na jaye ga
Jin ko nahi ghadeer kay elan pay etabar
aiso ko dhondh dhondh kay katay gi zulfiqar
bada e zahoor char so roye zameen per
koi ado e Murtaza (as) chorha na jaye ga
kerta hai apnay sajdo pay jo shakhs aj naz
jis ko laho ka pursay pay hota hai etaraz
os ka laho bahaye gaye yuh sahib ul zaman
qatra bhi os main khoon ka chorha na jaye ga
waiz tu denniat ka yeah mashwara na day
hukam e imam e jaffer e sadiq say hai jorha
ashor o arbaeen ka arfa kay roz ka
hum say tawafay karbala chorha na jaye ga
lay ga her ek shakhs say baait mera imam (as)
kalma dobara akay perhay gaye bashar tamam
Mahdi (ajtf) ka samnay jo Ali (as) Wali talak
kalma nahi sunaye ga chorha na jaye ga
ishq e Ali (as) hai dil main tawallah hai apna kam
Zahra (sa) kay dushmano pay tabarha hai apna kam
waada hai yeah Batool (sa) say her ek ghulam ka
bagha e fidaq ka tazkara chorha na jaye ga
kis kis ka kia aqeeda hai Mola (ajtf) ko hai khaber
her munker e ALI (as) o walaiat pay hai nazar
tab tak na os kay samnay jan hogi surkharo
jub tak ALI (as) ko sochna chorha na jaye ga
jub apnay sath laye ga Abbas (as) ko Imam (as)
hatho main hogi Ghazi (as) kay ek taigh e baye niam
Zainab (sa) ka shair bhai lerhay ga ka alaman
is bar koi hurmala (laeen) chorha na jaye ga
maidan karbala ka dobara sajaye ga
lakho ko wo qabroo say aker jagaye ga
kofa ta sham taigh chalay gi Imam (as) ki
dushman koi Hussain (as) ka chorha na jaye ga
Akbar areeza bahja hai nasha yeah torh day
yeah Alajal ka jam na khali perha rahay
jub tak na teri deed ki pao ga main sharab
mah khana tera saqiya chorha na jaye ga
NAAT LYRICS :

Comments
Post a Comment