Editors' Choice

BEST NOHA LYRICS RULA KE QATAL KIYA LYRICS

‏New Manqabat | BIBI FATIMA 2021 | Fatima Ka Naam Lyrics

 

Manqabat Lyrics : FATIMA(s.a) KA NAAM  ‎فطمہ کا نام  Beautiful MANQABAT

Manqabat Lyrics : FATIMA(s.a) KA NAAM

‎فطمہ کا نام

Beautiful MANQABAT


Jab tak zaban pe meri raha fatima ka naam.


Karta raha sukoon ata fatima ka naam.


1. Aasan tha mere waaste usdam pulle siraat. Jabtak chala main leta raha fatima ka naam. 


2. Amaal ye mere liye kaafi na thy magar. Bakshish ka meri raaz raha fatima ka naam. 


3. Kabtak gila naseeb ka karte raho gy tum. Le kar kabhi dekhi zara fatima naam.


4. Hoti nahi hai rad kabhi us shaks ki duwa. Le le agar wo waqte duwa fatima naam.


5. Har lamha apne qalb ki taskeen ke liye. Lete thy khud rasoole khuda fatima ka naam.


6. Mushkil khusha hain ali zamane ke waaste. Muskil main khud ali ne liya fatima ka naam.


7. Jabse isi gharane ki qidmat hui naseeb. Ahsan ke hai labon pe sada fatima ka naam.


8. Kirdaar iska naik ho ye soch kar sohail. Beti ko meri main ne diya fatima ka naam

Comments