Subha Taiba Me Hui Bat'ta Hai Baara Noor Ka
Sadqa Lene Noor Ka Aaya Hai Taara Noor Ka
Baagh Taiba Me Suhana Phool Phoola Noor Ka
Mast Bu Hain Bul Buley Parhti Hai Kalma Noor Ka
Baarween Ke Chaand Ka Mujra Hai Sajda Noor Ka
Baara Burjo Se Jhuka Ik Ik Sitara Noor Ka
Taaj Waale Dekh Kar Tera Imama Noor Ka
Sar Jhukate Hain Ilahi Bol Baala Noor Ka
Unke Kasre Qadr Se Khuld Ek Kamra Noor Ka
Sidra Paayi Baagh Me Nanha Sa Pauda Noor Ka
Sham'a Dil Mishkaat Tan Seena Zujaja Noor Ka
Teri Surat Ke Liye Aaya Hain Surah Noor Ka
Dahan Unka Noori, Badan Unka Noori
Ye Khaaki Banaayen Ke Kya Un Ke Khaake
Chaand Jhuk Jaata Jidhar Ungli Utha De Mahad Me
Kya Hi Chalta Tha Isharon Par Khilona Noor Ka
Kaaf Gesu Haa Dahan Ya Abru Aankhein Ain Swaad
Kaaf Haa Ya Ain Swaad Unka Hai Chehra Noor Ka
Aye Raza Ye Ahmed e Noori Ka Faiz e Noor Hain
Ho Gayi Meri Ghazal Barh Kar Qaseeda Noor K
0 Comments