Gareeb Nawaz Soofiyana Kalam Lyrics:-
Chrage Chist Shahe Auliya Gareeb Nawaaz…
Bahaare Anjuman-e-Mustafa Gareeb Nawaaz…
Suno Suno Mere Hajat Rawa Gareeb Nawaaz
Main De Raha hun Sada Per Sadaa Gareeb Nawaaz
Khwaja Ji Khwaja Ji Khwaja Ji Khwaja Ji
Khwaja Ji Khwaja Ji Khwaja Ji Khwaja Ji
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Iltija Sunlo Shahe Zaman ke Liye
Kardo Kardo Karam Murshide Mohtaram
Tumko Bheja Gaya hai karam ke liye
Kardo Kardo karam Mere khwaja Piya
Kardo Kardo karam Mere khwaja Piya
Kardo Kardo Karam Murshide Mohtaram
Tumko Bheja Gaya hai Karam ke Liye
Hai Tumhari Talab Hasile Bandagi
Hai Tumhari Talab Hasile Bandagi
Isse Badh kar nhi hai Ibadat koi
Isse Badh kar nhi hai Ibadat koi
Mere Sajde hai Aye Khwaja Hindal Wali
Mere Sajde hai Aye Khwaja Hindal Wali
Bas Tumhare hi Nakshe Qadam ke Liye
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Iltija Sunlo Shahe Zaman ke Liye
Noor shahe Najab Mere Khwaja Piya
Khwaja Piya
Noor shahe Najab Mere Khwaja Piya
Noor shahe Najab Mere Khwaja Piya
Teri Chaukhat Pe Waliyon Ne Sajda Kiya
Khalike Do Jaha se ye rutba mila
Tere Darbar Faizo Karam Ke Liye
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Iltija Sunlo Shahe Zaman ke Liye
Shahe Ajmer Mera Masiha Hai Tu
Shahe Ajmer Mera Masiha Hai Tu
Dar Mandon ke Dukhka Madawa hai Tu
Dar Mandon ke Dukhka Madawa hai Tu
Teri Nisbat Ka Daman Rahe Haath Me
Teri Nisbat Ka Daman Rahe Haath Me
Bas Dawa Hai Yahi Ranjo Gum Ke Liye
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Khwajaye Khwajgan Hamiye-Be-Kansa
Iltija Sunlo Shahe Zaman ke Liye
Suno Suno Mere Hajat Rawa Gareeb Nawaaz
Main De Raha hun Sada Per Sadaa Gareeb Nawaaz.
YEH IBRAT KI JAA NAAT LYRICS
Anokhi Waza Hai Saray Zamanay Say Niralay Hain
Yeh Aashiq Kaunsi Basti Kay Yaa Rab Rehnay Walay Hain
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay
Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay
Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay
Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya
Burr'haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya
Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala
Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Burr'hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi
Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar
Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai
Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai
Kahin Shikwa'Jor-o-Makr-o-Dawa Hai
Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Ha
Written by:
Last update on:July 8, 2020
0 Comments