Editors' Choice

BEST NOHA LYRICS RULA KE QATAL KIYA LYRICS

15 Shaban Manqabat 2021 - Ek Waris e Haider Hai - Imam Mehdi Manqabat 2021 -

15 Shaban Manqabat 2021 - Ek Waris e Haider Hai - Imam Mehdi Manqabat 2021 - Ali Akbar Ameen 2021

 M A N Q A B A T L Y R I C S 


Ek Waris e Haider hai Jo ghaib say aayega 

Is duar ki marhab ki aukat bataega


Shabbir ki ek majlis kaab e may bapa hogi 

Allah ke Ghar Mai bhi ye rasm Ada hogi 

Khud farshe aza apne hathon say bichaega 


Kaabe say alam lekar ishaan say niklega 

Qura'an imamat ka juzdan say niklega 

Tohid ke jalwo Mai Islam nahaega 



Islam ke phoolo ki parcham Mai ladi hogi

Ek mashk phairere ke siney pa padi hogi 

Pyaso ki shahadat ka ye qarz chukaega 

 


Aajane do ghaibat say Waris ko shahedo ke 

Od jaengy duniya Mai khud hosh yazeedo ke 

Jub hath Mai Haider ki talwar othaega



Her Dil Mai ziyarat ke Arman 

Badey hongy 

Isa bhi jamaAt ke khahish Mai khadey hongy 

Jub apna musalla ye Pani pa bichaega


Her ek buari say Dil saaf karega ye 

Khalik ki adalat Mai insaf karega ye 

Hai baaghe fidak kiska duniya ko bataega



Jo door hai unko bhi nazdeek bulalega 

Haider ke mohibbo ko seene say laga lega 

Munkir ko wilayat ke ye mooh na laegaga


kirdar ke jalwo ka Bazar alag hoga 

Mehdi ki hukumat ka meyar alag hoga

Haq Charo taraf hoga batil mitjaega



Zalim ke lie Akhtar duniya Mai tabahi hai 

Sub ahle aza Akbar Mola ke sipahi hai 

Munkir hai Jo iska vo Jannat Mai na jaega

Comments