Syeda ya Fatima Lyrics
Syeda ya Fatima a.s (x2)
wo Tayyaba a.s wo Tahira a.s (x2)
wo Raziya a.s wo Marziya a.s hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
wo jis ki rida he hijab-e-khuda hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
wo jis ka adab sunnate Mustafa s.w.w hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
ali a.s he zamane k hajat rawan hain
wohi do jahano k mushkil kusha hain
jo mola ali a.s ki bhe mushkil kusha hai
wohi Syeda a.s hay (x2)
jahano main chalti hay iski he marzi
jo chahe banade farishton ko darzi
wo jis ki raza he khuda ki raza hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
hay is k nabowat pe ahsan kitne
nabi halat-e-zoof main isko dhoondhe
wo jis ki rida Mustafa s.w.w ki dawa hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
Muhammad s.w.w k khuwabon ki tabeer Zehra a.s
taharat ki karti hay tatheer Zehra a.s
musallay pe jis ko Hassan a.s mil raha hay
wohi Syeda a.s hay ( x4)
sitaren bhe aa aa k dar chumte hain
isi say tou shams-o-qamar ghoomte hain
wo chakki say jiski jahan chal raha hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
ye Hur a.s nay kaha main jo bakhsha gaya hoon
jo main aj nabion ki saaf main khara hoon
ye jis shahazadi ki mujh par aata hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
parho jaa k Quran main rab nay kaha hay
tumhe kia pata laila-tul-qadar kia hay
jo har famo idrak say mawara hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
wo miraj ki shab wahan par bula kar
khud apne payamber ko mehman bana kar
nabi s.w.w ko jo toohfa khuda nay diya hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
khuda nay jo bakhshi hay mujho ye izzat
ye hay sare alaam main jo meri shohrat
ye jis ka karam mujh pe Zille Raza hay
wohi Syeda a.s hay (x4)
Post a Comment