Tasbihat E Hazrat E Zahra(sa)
Ya Zahra (sa)
Kya gham ho phir.
Jeene ka jab hai ye nuskha.
Ye roz o shab mera parhna.
Tasbeehat E Hazrat E Zahra (sa)
Allah o akbar ye zikr e Khuda
Allah o akbar ye ataa e Rab
Allah o akbar ye rizq e jaha'n
Milta hai Zahra (sa) bas Tere sabab.
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
____________
Kaise thaamu'n.
Deewar aur dar ko main Fizza.
Sho'lo'n mein Ahmad(saww) ka tukda.
Zakhmi hai pehlu shikasta.
Allah o akbar ye dard e daroo'n
Allah o akbar ye musibatein.
Allah o akbar ye zakhm Mera.
Khooni hain Kausar ki sab aayatein.
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
___________
Aisa tha gham.
Roshan din par bhi agar padta.
Har simt hota andhera.
Lekin Bibi (sa) k bas labo'n par tha.
Alhamdulillah bar qazaa e oo.
Alhamdulillah har ranj o alam.
Alhamdulillah Main Bint e Nabi(saww).
Thaame hun tanha Haider (as) ka alam.
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
___________
Sharminda hai.
Baitullaah ka hasee'n naqsha.
Yasrab mein Ahmed (saww) ka rouza.
Ro Ro k parhta hai nauha.
SubhanAllah roshan hai raat din.
SubhanAllah ye rouza e Rasool (saww).
SubhanAllah raunaq hai chaar soo.
Ujdi hui hai magar qabr e Batool(sa).
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
Sallal laaho alaik ya Fatima(sa)
0 Comments