Header Notification

21 Ramzan Noha Shahadat Imam Ali | Baap Ka Taboot Hai | (2019)

Baap ka taabot hai hassnain hen tanhai hai.
Dene bachu ko dilasa khuld se maan ayi hai.

Arsh wale bhi nazar ate hn kuch mayyat ke sath.
Sog me dobi hoi hai murtaza ke kayinat .
Kis qadr jan e ali ke zakhm me gehrai hai.
Baap ka ..........

Sabr aye zainb o kulsoom ko parwrdigar.
Sehn e masjid se sadayen arhin hen baar baar .
Ek roze daar ne masjid me zarbat khayi hai.
Baap ka...........

Tak raha hai kis ko hasrat se na jane nor e aen .
Kon hai jo keh raha he sabr kr mere Hussein.
Kis ki ye awaz hai kano se jo takrai hai.
Baap ka .......

Kaanp jata hai kaleja dard ke ehsas se.
Milke jb shabbeer rote hen gale abbas ke.
Dekho ek bhai ke ghum ka ayina ek bhai hai.
Baap ka........

Khon rota hai falak kufe ke manzar hen udaas .
Zainb o kulsoom or shabbiro shabber hen udaas.
Chehray e ummul bani'n par murdni see chhayi hai.
Baap ka.........

Maan ka ghum bhole na tha baba ka saya uth gaya .
Haye ghar hussnain ka dekho dobara lut gaya .
Waqt ne phir se ghamo ki dastaan dohrayi hai.
Baap ka .........

Kon see manzil me likha jaye ab is sabar ko.
Apne hathu se mitate hen nishan e qabr ko.
Hay e kis alam me mayyat baap ki dafnai hai.
Baap ka .........

Amir o akhter siyahi hai falak per har tarf.
Donu alam par musallat hai gham e shahe najaf.
Arsh ko qudart ne poshak e aza pehnayi hai.
Baap ka..........
21 Ramzan Noha Shahadat Imam Ali | Baap Ka Taboot Hai | (2019)





Post a Comment

0 Comments