Header Notification

SAD SHUKR NOHAY LYRICS 2018-19


Sad Shukr Meray Mola, Ke Dekh liya Roza 

Pohchey jo Karbala hum choomi zameen e athar 
Seenay pe haath aaya aur Ya Hussain lab par 
Jo Kefiyat thi apni woh sab bayaan ho kyun kar 
Ankhon se girrahay thay Khaak e shifa pe gohar 

Ashaab e bawafa ke saanchey mein dhal rahay thay 
kaanton pe chalnay walay makhmal pe chal rahay thay 
har ek qadam pe apni qismat badal rahi thi 
apney bhi dil ke andar armaan machal rahay thay 

Nazdeek se jo humney raahay nijaat dekhi 
raahay nijaat par phir apni hayaat dekhi 
phir ussey aagay badhkar nehre furaat dekhi 
chasme zadan mein humnay kul kaenaat dekhi 

Phir uskay baad pohchay ham roza e jari par 
dekha nahin tha aisa hum nay kbahi bhi manzar 
ek saath ho rahi thi kham dar pe sakaRo sar 
lagta tha Karbala mein jaise bapa hai mehshar

Woh roub o woh jalaalat jissay thay khaf taari 
Reh reh ke kar rahi thi sajda nazar hamari 
dil muztarib pareshaan saanson mein aaho zaari 
yeh zindagi ke kuch pal thay har sadi pe bhaari 

Do janaton ke jis dam hum darmiyaan kharay thay 
Qismat pe apni us dam hum rashk kar rahay thay 
khuda apni hi sarapa hairat se dekh ti thi 
parwaan char rahi thi jo dill mein wal walay thay 

Chokhat ko shahe deen Ki chooma gale lagaya 
Kuchh waqt dar pe thehre qadmo ko phir badhaya 
Mat poochhiye K hamko kya kya khayal aaya
Ghuzre huye palo,n ne be saakhta rulaya 

Jaali pe hath rakkha dil ko qarar aaya 
Mazloom e karbala ko phir haal e dil sunaya 
Aankhon ki putliyon ko mas karke jab uthaya 
Aisa laga K jaise dil cheer kar dikhaya

Pursa diya tadapkar  qasim se gulbadan ka 
Karbobala K ban me ujde huye chaman ka 
Ansaar o aqreba ka mazloom be watan ka 
Beton ka bhanjon ka Bhai ka aur bahan ka 
Sad shukr meray Mola ke dekh liya roza
Hussaina Hussaina Karbala

Dil ki jo kefiyat thi asif bayaan ho kaise 
Toofan kitni utthe arman kitne machle 
Hashim ye mukhtasar se bas hain safar K kisse 
Dil chhod aaye apna roze pe shahe deen ke

Post a Comment

0 Comments