Ghusl Ka Tareeqah

 Ghusl kay 3 faraa`iz
1. Kulli karna. 
2. Naak may pani charrhana. 
3. Tamam zaahiri badan par pani bahana.

1. Kulli karna 
Munh may thorra sa pani lay kar pach kar kay daal daynay ka 
naam kulli nahin balkay munh kay har purzay, goshay, hont 
say halq ki jarr tak har jagah pani bah jaye. Isi tarah darrhon 
kay peechay galon ki tah may, danton ki khirrkiyon aur jaron 
aur zaban ki har karwat par balkay halq kay kanaray tak pani 
bahay. Rozah na ho to ghargharah bhi kar lijiye kay Sunnat 
hay. Danton may chaliyah kay danay ya boti kay rayshay 
waghayrah hon to un ko chhurrana zarori hay. Haan agar 
chhurranay may zarar (ya’ni nuqsan) ka andayshah ho to 
mu’af hay, ghusl say qabl danton may rayshay waghayrah 
mahsoos na huway aur rah gaye Namaz bhi parrh li ba’d ko 
ma’loom honay par chhura kar pani bahana farz hay, pahlay jo 
Namaz parrhi thi woh ho gaey. Jo hilta dant masalay say jamaya 
gaya ya taar say baandha gaya aur taar ya masalay kay neechay pani 
na pohancha ho to mua’f hay.
Jis tarah ki aik kulli ghusl kay liye farz hay isi tarah ki 3 
kulliyan Wuzu kay liye Sunnat hayn. 

2. Naak may pani charrhana 
Jaldi jaldi naak ki nook par pani laga laynay say kaam nahin 
chalay ga balkay jahan tak narm jagah hay ya’ni sakht haddi 
kay shuru’ tak dhulna laazimi hay. Aur yeh yun ho sakay ga 
kay pani ko songh kar opar khaynchay. Ye khayal rakhye kay baal 
barabar bhi jagah dhulnay say rah na jaye warnah ghusl na ho ga. 
naak kay andar agar reenth sokh gai hay to is ka chhurana farz hay, 
neez naak kay balon ka dhona bhi farz hay.

3. Tamam zaahiri badan par pani bahana 
Sar kay balon say lay kar paoon kay talwon tak jism kay har 
purzay aur har har rongtay par pani bah jana zaroori hay, jism 
ki ba’z jaghayn aysi hayn kay agar ihtiyat na ki to woh sokhi 
rah jaeyn gi aur ghusl na ho ga.



Comments