Nohay 2024 | Alambardar Ghazi (as) | Title Kalam 2024 | Sharif Abbas Nohay 2024 | Muharram 2024/1446
" Title Nauha of Ayyam e Aza Album 2024/1446 "
•Title | Alambardaar Ghazi|
•Reciter | Sharif Abbas |
•Poet | Rizwan Karbalai|
•Compose | Sharif Abbas|
•Chorus | Abbas Brothers |
•Label | SA Records
•Year | 2024/1446 Hijri
•Audio & Video | ABS Studio |
•Video Editing | Sharif Abbas |
•Abs Studio Contacts | 7618085902 |
||Lyrics||
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
KAHI PAR AAB KEHTE HAIN KAHI PAR PYAAS KEHTE HAIN
KABHI SAKKA KABHI AHLE HARAM KI AAS KEHTE HAIN
HUSAIN IBNE ALI SE PUCH LIJE SAYE ME JISKE
IMAMAT BHI AMA PAYE USE ABBAAS KEHTE HAIN
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
GHULAME SHAAHE WALA
AZADARO KA MOULA
SHARI,AT KA ASA HAI
CHAHITA PANJETAN KA
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Na Pucho Martaba Ummul Bani(S.a) Ke Shaahzade Ka
Isi Se Jaan Le Duniya Mere Abbas Ka Rutba
Namaze Shab Ke Sajde Me Sakhawat Ke Samandar Ne
Khuda Se Karbala Ke Waste Manga Hai Haider Ne
Dua E Murtaza Hai
Ali Ka Laadla Hai
Bhare Bin Hath Jholi
Ye Wo Juda Sakha Hai
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Qasam Karbobala Ki Tarjuma Siffeen Ka Hota
Agar Talwaar Utha Leta To Ek Mehshar Bapa Hota
Khuda Ki Maslehat Thi Jo Kabhi Zaynab(S.a)kabhi Sheh Ne
Jari Ko Rok Kar Ran Me Qayamat Rok Li Sheh Ne
Fazilat Ka Khazana
Shahe Di Ka Bharosa
Nazar Aata Hai Sab Ko
Ali Karbobala Ka
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Ghazab Ki Pyaas Me Dariya Ko Thokar Maar Di Jisne
Kiya Ye Kaarnama Shere Haider Ke Siwa Kisne
Kare Qurbaa,n Jo Apni Jaan Himayat Ho To Aisi Ho
Jaha,n Walo Bhateeji Se Mohabbat Ho To Aisi Ho
Sakeena(S.a)ki Sada Hai
Shahenshahe Wafa Hai
Yahi Be Aasro Ka
Mukammal Aasra Hai
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Lahu Ke Aakhri Qatre Talak Sheh Se Wafa Karna
Koi Abbas Se Seekhe Akhi Ka Haq Ada Karna
Jhukaye Rakhkhe Jo Bhai Ke Aage Apni Peshani
Ye Na Mumkin Hai Mil Jaye Koi Abbas Ka Sani
Bani Hashim Ka Pyara
Imamat Ka Sahara
Hai Har Dil Ka Ye Nara
Hamara Hai Hamara
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Sharafat Se Inayat Se Shuja,at Se Jalalat Se
Hai Aisa Kon Jo Waqif Nahi Ghazi Ki Qudrat Se
Abhi Toote Huwe Naize Ko Moosa Ka Asa Kar De
Agar Ye Chaahe To Be Tegh Bhi Lashkar Fana Kar De
Ye Ibne Laafta Hai
Ghazab Ka Soorma Hai
Kisi Bhi Rukh Se Dekho
Ali Ka Aaina Hai
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Kare Jo Samna Koi Sitamgar Me Kaha Dam Hai
Ali Ke Sher Dil Bete Ki Haibat Ka Ye Aalam Hai
Nigaahe Ghaiz Fouje Shaam Pe Kya Phair Di Isne
Adu E Shaah Ki Aankho Se Neende Cheen Li Isne
Shari,at Ki Jawani
Shuja,at Ki Kahani
Hai Ghairat Ka Muqaddar
Wafa Ki Tarjumani
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Hazaaron Jaal Se Sara Jahan Is Ka Sawaali hai
Nishan e Hazrat e Abbas ki Azmat Nirali Hai
Alambardaar Ke Parcham Ke Saye Me Jo Aata Hai
Qasam Baab e Hawaij Ki Muraden Apni Pata Hai
Karam Majmua Hai
Har Ek Gham Ki Dawa Hai
Ghareebon ka Masiha
Har Ek Gham Ki Dawa Hai
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Sitam Kya Kya Huwe Hain Ek Pyaase Par Batata Hu
Azadaro Tumhe Aashoor Ka Manzar Batata Hu
Ali Ka Sher Jab Mashke Sakina(S.a) Bhar Ke Palta Hai
Kisi Ne Teer Mara Hai Kisi Ne Ghurz Mara Hai
Masa,ib Ka Samandar
Ita,at Ka Muqaddar
Jawa Marde Mujahid
Jari Shere Dilawar
Alambardaar Ghazi
Mera Sardaar Ghazi
Jahaane Sabr Se Bhi Dasht Me Thehra Nahi Jata
Zami Tharra Rahi Hai Arsh Se Dekha Nahi Jata
Rulata Hai Bahot Ay Sharifo Rizwan Ye Manzar
Zami Pe Jism Hai Abbas Ka Sar Nouke Naiza Par
Kahi Aaho Buka Hai
Kahi Farshe Aza Hai
Kahi Jari Hai Maatam
Kahi Pe Marsiya Hai
Alambardaar Ghazi
अलंबरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
कहीं पर आब कहते हैं, कहीं पर प्यास कहते हैं
कभी सक्का कभी अहले हरम की आस कहते हैं
हुसैन इब्ने अली से पूछ लिजे साये में जिसके
इमामत भी अमा पाये उसे अब्बास कहते हैं
अलंबरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
गुलामे शाहे वाला
आज़ादरो का मौला
शरीर,अत का आसा है
चाहिता पंजेतन का
अलंबरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
ना पूछो मर्तबा उम्मुल बानी(स.अ) के शाहज़ादे का
इसी से जान ले दुनिया मेरे अब्बास का रुतबा
नमाज़े शब के सजदे में सखावत के समंदर ने
खुदा से कर्बला के बर्बाद मंगा है हैदर ने
दुआ ए मुर्तजा है
अली का लाडला है
भरे बिन हाथ झोली
ये वो जुदा सखा है
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
क़सम कर्बला की तर्जुमा सिफ़्फ़ीन का होता
अगर तलवार उठा लेता तो एक मेहशर बाप होता
खुदा की मसलहत थी जो कभी ज़ैनब(स.अ)कभी शेह ने
जरी को रोक कर रान में क़यामत रोक ली शेह ने
फ़ज़ीलत का ख़ज़ाना
शाहे दी का भरोसा
नज़र आती है सब को
अली कर्बला का
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
ग़ज़ब की प्यास में दरिया को ठोकर मार दी जिसने
किया ये कारनामा शेरे हैदर के सिवा किसने
करे कुर्बा,न जो अपनी जान हिमायत हो तो ऐसी हो
जहाँ,न वालो भतीजी से मोहब्बत हो तो ऐसी हो
सकीना (स.अ)की सदा है
शहंशाहे वफ़ा है
यही बे आसरो का
मुकम्मल आसरा है
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
लहू के आखिरी कतरे तलाक शह से वफ़ा करना
कोई अब्बास से सीखे आख़िरी का हक़ अदा करना
झुकाए रख्खे जो भाई के आगे अपनी पेशानी
ये ना मुमकिन है मिल जाए कोई अब्बास का सानी
बानी हाशिम का प्यारा
इमामत का सहारा
है हर दिल का ये नारा
हमारा है हमारा
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
शराफ़त से इनायत से शुजा,आत से जलालत से
है ऐसा कोन जो वाकिफ नहीं गाजी की क़ुदरत से
अभी टूटे हुए नाइज़ को मूसा का असा कर दे
अगर ये चाहे तो बे तेग भी लश्कर फना कर दे
ये इब्ने लाफ्ता है
ग़ज़ब का सूरमा है
किसी भी रुख़ से देखो
अली का आइना है
अलंबरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
करे जो सामने कोई सितमगर में कहा दम है
अली के शेर दिल बेटे की हैबत का ये आलम है
निगाहे ग़ैज़ फ़ौजे शाम पे क्या फ़ैर दी इसने
अदु ए शाह की आँखों से नींदे चीन ली इसने
शरी,आत की जवानी
शुजा,आत की कहानी
है ग़ैरत का मुकद्दर
वफ़ा की तर्जुमानी
अलंबरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
हजारों जाल से सारा जहाँ इस का सवाल है
निशान ए हजरत ए अब्बास की अजमत निराली है
अलम्बरदार के परचम के साये में जो आता है
कसम बाब ए हवाईज की मुरादें अपनी पाती हैं
करम मजमूआ है
हर एक ग़म की दवा है
गरीबों का मसीहा
हर एक ग़म की दवा है
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
सितम क्या क्या हुए हैं एक प्यासे पर बताता हूँ
आज़ादरो तुम्हें आशूर का मंज़र बताता हूँ
अली का शेर जब मश्के सकीना(स.अ) भर के पलटा है
किसी ने तीर मारा है किसी ने ग़ुर्ज़ मारा है
मासा,इब का समंदर
इता,अत का मुकद्दर
जवा मर्दे मुजाहिद
जारी शेर दिलावर
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
जहाँ सब्र से भी दश्त में ठहर नहीं जाता
ज़मी ठहर रही है अर्श से देखा नहीं जाता
रुलता है बहुत ऐ शरीफो रिज़वान ये मंज़र
ज़मी पे जिस्म है अब्बास का सर नौके नैज़ा पर
कही आहो बुका है
कही फ़र्शे अज़ा है
कही जारी है मातम
कही पे मर्सिया है
अलम्बरदार गाजी
मेरा सरदार गाजी
0 Comments