Teen bhadur bhai
Hazrat-e-A’llamah Abu-l-Faraj ‘Abdul-ur-Raman bin Juzi
‘Oyon ul hikayat mai naql kartey hain: 3 shami ghur
sawar bahadur nojawan bhai Islami lashkar key sath jihad per
rawana hoey lekin wo lashkar sey alag ho kar chaltey or paraao
daltey they, or jab tak kuffar ka lashkar un per hamley mai
pehel na karta wo laraae mai hisa nahe letey the, aik martaba
romio ka aik bara lashkar musalmanoo per hamla aawar hoa or
kaee muslamanoo ko shaheed or mut’adad ko qaidi bana lia.
Ye Bahi aaps mai kehney lagey: Musalmanoo per aik bari
musibat nazil ho gae hai ham per lazim hai key apni janoo ki
parwa kie bigair jang mai kood paren, ye aagey barhe or jo
musalman baqi bachey the un sey kehney lagey: Tum hamarey
pichey ho jao or hamey un sey muqabla karney do, ager Allah
ney chaha to ham tumharey lie kafi hon gey, ye romi
lashker per tot parey or romio ko pichey hatney per majboor
kar dia, romi badsha (jo in teeno ki bahadri ka manzer dekh
raha tha) apney aik jarnail sey kehney laga: jo in mai sey kisi
nojawan ko gariftar kar key laey ga mai usey apna muqarab or
sipah salar bana don ga, romi lashker ney ye e’alan sun kar
apni janey lara deen or aakhir kar in teeno bahiyon ko bigair
zakhmi kie gariftar karney mai kamyab ho gae, romi badshah
bola: in teenoo sey barh kar koi fatha or mal-e-ganeemat nahe,
phir us ney apney lashkar ko rawangi ka hukm dia or in teenoo
bhaiyon ko apney sath darulsaltanat qustuntunya ley aaya or
bola: ager tum islam tark kar do to mai apni betiyon ki shadi
tum sey kar don ga or aayanda badshahat bhi tumharey
hawaley kar don ga, in bhayon ney Eman per sabit qadami ka
muzahra kartey hoey is ki ye peshkash thukra di or Sarkar-eMadina
ko pukara or Aap
sey
istigasa (y’ani faryad ki) badshah ney apney darbariyoon sey
pocha: ye kia keh rahey hain? darbariyoon ney jawab dia: ye
apney nabi ko pukar rahey hain, badshah ney in bhaiyon sey
kaha: Ager tum ney meri bat na mani to mai teen degoon mai
tail khoob karkara kar teenoo ko aik aik deg mai phinkwa don
ga, phir us ney tail ki 3 degey rakh kar un key nichey 3 din tak
aag jalaney ka hukm dia, her din un 3 bhaiyon ko in degoon
key pas laya jata or badshah apni peshkash in key samney
rakhta key islam chor do to mia apni betiyoon ki shadi bhi tum
sey kar doon ga or aayanda badshahat bhi tumharey hawaley
kar don ga, ye teeno bhai her bar Eman per sabit qadam rahey
or badshah ki is pashkash ko thukra dia, 3 din key bad badshah
ney bare bahi ko pukara or apna mutalba dohraya, is mard-emujahid ney inkar kia, badshah ney dahmki di mai tujhey is
deg mai phikwa don ga, lekin us ney phir bhi inkar he kia,
aakhir badshah ney tesh mai aa kar isey deg mai dalney ka
hukm dia jesey he us nojawan ko kholtey hoey tail maid dala
gaya, aanan fanan us ka sab gosht post jal gaya or is ki hadyaan
ooper zahir ho gaen, badshah ney dosrey bhai key sath bhe isi
tarha kia or usey bhi kholtey tail mia pikhwa dia, jab badshah
ney is qadar karey waqt mai bhe islam per in ki istiqamat or in
hoshroba masaib per saber dekha to nadim ho kar apney aap
sey kehney laga: mai ney in (muslamano) sey ziada bahadur
kisi ko na dekha or ye mai ney in key sath kia kiya? phir us ney
chotey bhai ko laney ka hukm dia or usey apney qareeb kar key
mukhtalif heley bahano sey wargalaney laga lekin wo nojawan
is ki chalbazi main na aaya or is key paaey sabat mai zarra
barabar lagzish na aae, itney mai is ka aik darbari bola: ay
badshah ager mai isey phusla doon to mujhe in’aam mai kia
miley ga? Badshah ney jawab dia: mai Tujhe apni foj ka
sipasalar bana don ga, wo darbari bola mujhe manzoor hai
badshah ne daryaft kia tum isey kesey phuslao ga? darbari ney
jawaban kaha ay badashah tum janatey ho key ahle arab
oratoon mai bohat dilchaspi rakhtey hain or ye bat sarey romi
jantey hain key meri Fulani beti husn o jamal mai yakta hai or
porey rom mai us jesi haseena or koi nahe, tum is nojawan ko
merey hawaley kar do mai isey apni us beti ko tanhaae mai
yakja kar don ga or wo usey phuslaney mai kamyab ho jaey gi,
badshah ney us darbari ko 40 din ki muddat di or is nojawan
ko is key hawaley kar dia, wo darbari isey ley kar apni beti key
pas aaya or sara majra usey keh sunaya, larki ney bap ki bat per
amel pera honey per rizamandi ka izhar kia, wo nojawan us
larki key sath is tarha rehney laga key din ko roza rakhta rat
bhar nawafil mai mashgool rehta, yahan tak key muqarrarah
muddat kahtam honey lagi to badshah ney us larki key bap sey
nojawan ka hal daryaft kia, us ney aa kar apni beti sey pocha to
wo kehney lagi key mai usey phuslaney mai nakam rahi ye
meri taraf maa il nahe ho raha shayad is ki waje ye hai key is
key dono bhai is sheher mai marey gaey or un ki yad isey satati
hai lihaza badshah sey muhlat mai izafa karwa lo or ham dono
ko kisi or sheher mai ponhcha do, darbari ney sara majra
badshah ko keh sunaya , badshah ney muhlat mai izafa kar dia
or un dono ko dosrey sheher ponhchaney ka hukm dey dia, wo
nojawan yahan bhi apney m’amool per qaaim raha y’ani din
mai roza rakhta or rat bher ‘ebadat mai masroof rehta, yahan
tak key jab mohlat khatam honey mai 3 din reh gaey to wo
larki betabana us nojawan sey arz guzar hoe: mai tumharey
deen mai dakhil hona chahti hon or yon wo muslaman ho gae,
phir unho ney yahan sey firar honey ki tarkeeb banaae wo larki
astabal sey 2 ghorey laae or us per sawar ho kar ye Islami
saltanat ki taraf rawana ho gaey, aik rat unho ney apney pichey
ghoron ki tapoon ki aawaz suni, larki samjhi key romi sipahi
un ka picha kartey hoey qareeb aa pohnchey hain, is larki ney
nojawan sey kaha: Aap us rab se jis per mai Eman la chuki hon
doa kijea key wo hamey hamarey dushmanoo sey najat ata
farmaey, nojawan ney palat kar dekha to hairan reh gaya key
us key wo dono bhai jo shaheed ho chukey they, firishtoon key
aik giroh key sath un ghoroon per sawar hain, is ney un ko salam
kia phir un sey un key ahwal daryaft kie wo dono kehney lagey:
ham aik he gotey mai Jannat-ul-Firdos mai pohanch gae they
or Allah ney hamey tumharey pas bheja hai, is key bad wo
lot gaey or wo nojawan us larki key sath mulk-e-sham pohncha
or is key sath shadi kar key waheen rehney laga, in 3 bahadur
shami bhaiyoo ka qissa mulk-e-sham mai bohat mashoor hoa
or in ki shan mai qasidey kahey gaey aik sher ye hai: sachoon ki barakat sey zindagi
or moat mai najat ata farmae ga, (‘oyonulhikayat 197 to 198
darulkitabulilmiya burait) Allah ki un per rahmat ho or un key
sadqey hamari magfirat ho. Mithe Mithe Islami bahyoo! dekha aap ney un teenoo shami
bhaiyoo ney Eman per istiqamat ka kiasa zaberdast muzahara
kia, un key diloon mai Eman kis qader rasikh ho chukka tha,
ye ishq key sirf buland bang d’awey karney waley haqiqi m’ana
mai mukhlis Aashiqan-e-Rasool they, dono bhai jam-e shahadat nosh kar key jannat ul firdos ki sarmadi n’ematoo key
haqdar ban gae or tisrey ney rom ki haseena ki taraf dekaha tak
nahe or din rat rab ki ebadat mai masroof raha or yoon jo ba
niyyat shikar aae thi khud aseer ban kar reh gae, Is Hikayat sey
ye bhi m’aloom hoa key mushkilat mai sarkar sey madad
chahna or ya Rasoolullah pukarna ehl-e-haq ka qadeem tariqa
raha hai.
Ya Rasoolallah key n’arey sey ham ko piyar hai
Jis ney yey n’ara lagaya us ka bera par hai
0 Comments