-->

Hussaini Dulha

 Hussaini Dulha 
Hazrat Sayyiduna Wahb Ibn-e-Abdullah Kalbiqabila 
bani kalb key naik Khu or khubaro jawan the, u’nfuwan-e-shabab, 
umangon ka waqt or baharon key din the sirf 17 roz shadi ko hoe
the or abhi besat-e-ishrat o nishat garam he thi key walida majida 
tashreef laeen jo aik bewa khatoon then or jin ki sari 
kamaae or ghar ka charag yehe aik nojawan beta tha, madar-emushfiqa ney rona shuro kar dia, beta hairat mai aa kar maa se 
pochta hai: pyari maa! Ranjomalal ka sabab kia hai? Mujhe yad 
nahe parta key mai ney apni umer mai kabhi aap ki nafarmani 
ki ho, na aayanda aysi jurat kar sakta hon, aap ki eta’at o 
farmabardari mujh per farz hai or mai Insha allah tabe zindagi 
mat’e o farmabardar he rahon ga, maa! Aap key dil ko kia 
sadma pohncha or aap ko kis gam ney rulaya? meri pyari maa! 
mai aap key hukm per jan bhe fida kaney ko tyar hon aap 
gamgeen na hon. 
Sa’adat mand iklotey betey ki ye sa’adat mandana guftugo sun 
kar maa or bhi cheekh mar kar roney lagi or kehney lagi: ay 
farzand-e-dilbadan! tu meri aankh ka noor, merey dil ka suroor 
hai ay merey ghar key roshan charag or mery bagg key mahaktey 
phool! mai ney apni jan ghula ghula kar teri jawani ki bahar paae 
hai, tu he merey dil ka qarar or meri jan ka chen hai, aik pal teri 
judaae or aik lamha tera firaq mujh sey bardasht nahe ho sakta. 
Jo dar khwab basham toe dar khayalm 
Chu baidar gardam toe dar zamiram 
(Y’ani jab souon to merey khawabon or khayalon mai to or jab 
jagoon to merey dil ki yadoon mai bhi to) Ay jan-e-madar! mai 
ney tujhey apna khoon-e-jigar pilaya hai, aaj is waqt dasht-ekarbala mai nawasa-e-mahboob-e-rab-e-zuljalal, mola mushkil 
kusha ka lal, khaton-e-jannat ka nonehal, shahzada khushkhisal 
zulm o sitam sey nidhal hey, merey lal! kia tujh sey ho sakta hai key 
to apni jan us key qadmoon per qurban kar daley! Is be- gherat 
zindagi per hazar tuf hai key ham zinda rahen or Sultan Madina-eMunawara Shahanshah-e-Makka Mukarrama ka 
ladla shahzada zulm o jafa key sath shaheed kar dia jae, ager tujhe 
meri muhabatayn kuch yad hon or teri parwarish mai jo 
moshaqatain mai ney uthaee hain un ko to bhola na ho to ay 
merey chaman key mahaktey phool! to piyarey Hussain key ser 
per sadqe ho ja, Hussaini Dulha Sayyiduna Wahb. ney 
‘arz ki: ay madar-e-meharban, khobi naseeb, ye jan shahzada 
Hussain. per qurban ho mai dil o jan sey aamada hon, 
aik lamha ki ejazat chata hon takey us Bibi sey do batain kar lon jis 
ney apni zindagi ke ‘aish o rahat ka sehra ser per bandha hai or jis 
key arman merey siwa kisi ki taraf nazar utaha kar nahe dekhtey, 
us ki hasratoon key tarpne ka khayal hai, ager wo chahey to mai us 
ko ejazat dey doon key apni zindagi ko jis tarha chahey guzarey, 
maa ney kaha: beta! Oratain naqis aqel hoti hain, mubada to us ki 
batoon mai aa jaey or ye s’aadat sarmadi tery hatoon sey jati rahey. 
us ko koi khol nahe sakta or un ki jaan 
nisari ka naqsh dil per is tarha kanda hai jo dunya key kisi bhi 
pani sey nahe dhoya ja sakta, ye keh kar Bibi ki tarf aaey or 
usey khaber di key farzand-e-Rasool Ibn-e-Fatima Batool, 
Gulshan-e-Mola Ali. key mahaktey phool medan-e-

karbala mai ranjeeda-o-malool hain, Ghaddaraon ney un per 
nargha kia hai, meri tamanna hai key un per jan qurban karoon, 
ye sun kar nai dulhan ney aik aah sard dil per dard sey khenchi 
or kehney lagi: Ay Merey Sar Key Taj! Afsos key mai is jang mai 
aap ka sath nahe dey sakti, Shari’at-e-Islamiyah ney o’raton ko 
larney key lie medan mai aaney ki ejazat nahe di, Afsos! Is 
Sa’adat mai mera hissa nahe key terey sath mai bhi dushmanoon 
sey lar kar Imam-e-A’ali Maqam per apni jan qurban karoon, 
Subhanallah aap ney to janati chamanistan ka irada 
kar lia wahan horain aap ki khidmat key lie hazir hon gi, us waqt 
aap mujhey bhi hamra rakhen. 
Hussaini Dulha apni us naik dulhan or barguzida maa ko lay kar 
Farzand-e-Rasool ki khidmat mai hazir hoa, Dulhan ney ‘Arz ki: 
Ay Ibn-e-Rasool! Shuhada ghorey se girtey hi huron ki goad mai 
pohanchtey hain or Ghilman-e-Jannat Kamal-e-Eta’at Shia’ri 
key sath un ki khidmat kartey hian, Huzoor per jaan nisari ki 
tamanna rakhtey hain, or Main nihayat hi be-kas hon, koi aisey 
rishte dar bhi nahe jo meri khaber geeri kar saken, Iltija Ye hai 
key a’rsa gah-e-mahshar mai meri in sey judae na ho, or dunya 
mai mujh gareeb ko aap key Ahl-e-Bait apni kanizoon mai 
rakhen, or meri tamam umer Aap. ki pak Bibiyon ki khidmat mai guzar jae. 
Hazrat Imam-e-A’ali Maqam. key samney ye tamam 
a’hed-o-pemaan ho gae or Sayyiduna Wahb ney bhi ‘Arz kar di 
key ya Imam-e-A’ali Maqam! Ager huzoor Tajdar-e-Risalat 
ki Shifa’at sey mujhey jannat mili to mai arz 
karon ga: Ya Rasool Allah ye Bibi merey sath 
rahey, Hussaini Dulha Sayyiduna Wahb Imam-eA’ali Maqam
. sey ejazat ley kar medan mai chal die, ye 
dekh kar lashker-e-a’ada per larza tari ho gaya key ghorey per aik 
mah-e-ro shahsawar ajel-e-nagahani ki tarha lashker ki taraf 
barha chala aa raha hai hath mai neza hai dosh per sipar hai or 
dil hila dene wali aawaz key sath ye rajaz parhta aa raha hai: 

(Y’ani Hazrat-e-Hussain ameer hain or bohat he achey ameer, 
un ki chamak damak roshan charag ki tarha hai)
Barq-e-khatif (y’ani uchk leney wali bijli) ki tarha medan mai 
pohnchey, Koh-e-Pekar Ghorey per sipah gari key fanon dikhae, 
saf-e-a’da sey mubariz talab farmaya, jo samney aaya talwar sey 
us ka sar uraya, girdo pesh khud saroon (y’ani sarkashon) key 
saroon ka anbar laga dia, nakasoon (y’ani na-ahloon) key tan 
khak-o-khoon mai taraptey nazar aaney lagey, yakbargi ghorey ki 
bag mor di or maa key pas aa kar arz ki key ay mader mushfiqa! 
Tu mujh sey ab to razi hoe! Or dulhan key pas pohnchey jo 
beqarar rorahi thi or us ko sabar ki taqeen ki, itney mai a’ada 
(y’ani dushmanoo) ki taraf sey aawaz aae: ۡ
ghorey per sawar ho kar medan ki taraf rawana hoey, nae 
dulhan tiktiki bandhey un ko jata dekh rahi hai or aankhon sey 
aansouon key darya baha rahi hai. 
Hussain Dulha sher-e-ziyaan (y’ani gazabnak sher) ki tarha 
teg-e-aabdar o neza-e-jaan shikar ley kar marka kar zar mai 
sae’qa war aa poncha, us waqt medan mai a’ada ki taraf sey aik 
mashoor bahadur or namdar suwar hakam bin tufail jo goror 
nabrad aazmaae mai sarshar tha takabur sey bal khata hoa 
lapka Sayyiduna Wahb ney aik he hamley mai us ko 
nezey per utha kar is tarha zameen per dey mara key hadyaan 
chakna choor ho gaee or dono lashkaroon mai shor mach gaya 
or mubarizoon mai himat muqabala na rahi, Sayyiduna Wahb 
ghora doratey hoe qalb-e-dushman per ponchey, jo 
mbariz samney aata us ko nezey ki nok per utha kar khak per 
patkh detey, yahan tak key neza para para ho gaya, talwar 
miyan sey nikali or teg zano ki gardaney ura kar khak mai mila 
deen , jab a’ada is jang sey tang aa gae to ‘amro bin s’ad ney 
hukm dia key sipahe is nojawan key gird hujoom kar key 
hamla karen or har taraf sey yakbargi tot paren chunache aisa 
he kia gaya, jab Hussaini Dulha zakhmoon say choor ho kar 
zameen per tashreef laey to siyah dilan bad batin ney un ka sar 
kat kar Hussaini kashkar ki taraf uchal dia, maa apne lakht-e jigar key sar ko apny moo sey malti thi or kehti thi: Ay beta, 
merey bahadur beta ab teri maa tujh sey razi hoe, phir wo sar us 
ki dulhan ki goad mai la kar rakh dia, dulhan ney aik jhurjhuri li 
or usi waqt parwane ki tarha us shamm’a jamal per qurban ho 
gae or us ki rooh Hussaini Dulha sey ham aagosh ho gae Surkhuroe isey kehtey hain key rahe haq mai 
Sar key deney mai zara to ney taamul na kia 
aap ko firdos key bagoon mai jagey ‘inayat 
farmae or rahmat-o-rizwan key daryaon mai gareeq karey) 
(Mulkhis az swaneh karbala 14 to 36 maktab tulmadina Karachi) 
Mithe mithe Islami bhaiyoo! dekha aap ney Ahl-e-Bait-e-athar ki 
mohabat or jazba-e-shahadat bhi kaisi ‘Azeem N’amaten hain sirf 
17 din ka Dulha medan-e-karzar mai dushmanoo key lashkar-ejarrar sey tan-e-tanha takra gaya or jam-e-shadat nosh kar key 
janat ka haqdar ho gaya, Hussaini Dulha ki walida muhtarma or 
nobiyahta dulhan per bhi karoron salam! kis qadar buland 
honsley key sath maa ney apney lal ko or dulhan ney apney suhag 
ko Imam-e-A’ali maqam, Imam-e-Arsh maqam, imam-e-tishna 
kam, Imam-e-Humam, syed shuhada, rakib-e-dosh-e-Mustafa, 
bekas-e-karbala imam Hussainkey qadmoo per 
qurban hotey dekaha Allah
aisi buland rutba kahatonane-islam key jazba-e-Islami ka koi zarra hamari maaoon or 
behnoon ko bhi naseeb karey key wo bhi olad ko Deen-e-Islam 
ki khatir qurbanyoon key lie pesh Karen, inhen sunnatoon key 
sanchey main dhalen or Aashiqan-e-Rasool key sath madani 
qafiloon mai safar per aamada Karen. 

lotney rahmaten qafiley mai chalo 
sikhne sunnaten qafiley mai chalo 
hon gi hal mushkilen qafiley mai chalo 
khatm hon shamaten qafiley mai chalo 
See Also :