Header Notification

Bismillah Shareef ki Fazilat

 Bismillah Shareef ki Fazilat 

Sahabi Ibne-e-sahabi, jannati ibn-e-jannati, Hazrat ‘Abdullah 
Bin ‘Abbas say riwayat hay kay Ameer-ul-Mu`mineen 
Hazrat ‘Usman bin ‘Affan 
nay Nabiyon kay Sultan 
Sarwar-e-Zeeshan say (ki fazeelat) kay 
baray may pocha: To Allah kay mahboob
nay 
farmaya: Ye Allah Pak kay naamon may say aik nam hay aur 
Allah Pak kay Ism-e-A’zam aur is kay darmiyan aysa hi qurb 
(ya’ni nazdeeki) hay jaysay aankh ki siyahi (putli) aur sufaidi 
kay darimiyan. (Mustadrak, Jild. 2, Safhah. 250, Hadees2071) 
Piyaray piyaray Islmai Bhaiyo! ‘Ism-e-A’zam’ ki bahut 
barakatayn hain, Ism-e-A’zam kay sath jo du’a ki jaye woh qubool 
ho jati hay. Sarkar-e-A’la Hazrat
kay Abbu jan Hazrat 
Raees-ul-Mutakallimeen Maulana Naqi ‘Ali Khan
’ko Isme-A’zam kaha. Sarkar-e-Baghdad Huzoor Ghaus-e-Pak say 
manqool hay:zuban-e-‘arif (ya’ni Allah Pak ko 
pehchannay wala) say aesi hay jesi Kalam-e-Khaaliq say ‘kun’ 
(ya’ni hoja)

Post a Comment

0 Comments