Ayyam e Fatmiyah Noha 2024 | Kaise Jiyega Hussain as | Syed Ali Meesum Abidi | Bibi Fatima Noha 2023
﷽
Title ▪️ Kaise Jiyega Hussain
Reciter ▪️ Syed Ali Meesum Abidi
Poetry & Composition ▪️ Janab Zeeshan Abidi
Chorus Sangat ▪️ Rizwan Mirza & Team
Audio Mixing ▪️ Omar Quraishi ODS (KHI)
Video ▪️ Razvi Records
Video Edit ▪️ SAM Records
Graphics▪️ Kazim Mehdi
Background Support ▪️ Farhan Razvi
Kamran Zaidi
Ali Jaan
Hyder Razvi
Album | 2023 / 1444 H
--------------------------------------------------------------------------------------------
On the Martyrdom of Shehzaadi Fatima (AS).
Many Condolences to Prophet Muhammad (Saww) and Moula Ali and Especially to Imam e Zamana (AJF).
---------------------------------------------------------------------------------------------
Noha Lyrics
Ghar mein Ali a.s Kay Qayamat Thi Barpaa
Aur Fatima s.a ka Janaza Rakha tha
Band e Kafan Torr kar Jab Bulaya
Maa Se Lipat kar ye Beta Pukara
Maa Tumse Hokar Juda Kaise Jiye ga Hussain a.s
Dhungunga Chehra Tera kaise Jiye ga Hussain a.s
Har Dard Apna Chupaya Hai Tumme
Lori Suna kar Sulaya Hai Tumne
Darwaza Girne Se Zakhmi tha Pehlu
Seene se phir bhi lagaya hai Tumme
Hai Kon Tum Bin Mera Kaise Jiye ga Hussain a.s
Tumse Bichar Kay Main Jee Na Sakunga
Amma Batao Main Kaise Rahunga
kyun Chor kar Mujhko tum ja Rahi ho
Main Haal e Dil Apna Kis se kahunga
Uth kar Batado Zaraa Kaise Jiye ga Hussain a.s
Tum Mere Sab Naaz Uthati Thi Amma
Uth Uth Kay Paani Pilati Thi Amma
Chalna Sikhati Thi ungli pakar kar
Girne se Mujhko Bachati Thi Amma
Ab Kon hai Aasraa Kaise Jiye ga Hussain a.s
Zakhmi Ho Toti Hui Pasliyan Hain
Ab Bhi Tamanchon Kay Rukh per Nishan Hain
Zer e Kafan bhi ho Takleef mein Tum
Ankhon se Ansu Abhi Tak Rawan Hain
Kaise Kahun Alwida Kaise Jiye ga Hussain a.s
Jab Hath pe Taziyana Laga tha
aur maine Hathon ka Bosa Liya tha
jab Tumne Ansu Bahaye the Amma
Us waqt Bhi Rokay Maine kaha tha
Khamosh Hojaonaa Kaise Jiye ga Hussain a.s
Ghurbat Meri Jab Rulaigi Mujhko
Maa Apki Yaad Aaigi Mujhko
Jate Hue Sirf Itna Bata do
Tishna Labi Jab Sataigi Mujhko
Main Kis ko Dunga Sada Kaise Jiye ga Hussain a.s
Sun kar Sadaa Boli Maa Ay Meri Jaan
Tum Mere Jane se Mat Ho Parishan
Jab Bhi Pukaroge Ajaongi Main
Tumko Akela Na Choregi Ye Maa
Afsos Rukhsat ka Jab Waqt Aaya
Matam tha Ghar mein Bapa Fatima s.a ka
Bete ko Mayyat se Maa ki Chura kar
Zeeshan O Mesum Utha Jab Janaza
Beta Ye Kehta Raha Kaise Jiye ga Hussain a.s
-------------------------------------------------------------------------------------------
0 Comments