Ayyam e Fatima Noha 2024 | Pasliya'n Roti Rahi | Ali Hasan Jafar | Bibi Fatima Noha | Noha 2024
•Related - Shahadat Bibi Fatima Zehra Noha 2024 | New Noha Ayyam e Fatmiyah 2024-1445 | Ayyam e Fatima Noha 2023
•Title- Ghurbate Zahra Pe Tooti Pasliya'n Roti Rahi'n | Bibi Fatima Noha 2023
•Recited & Composed by - Ali Hasan Jafar
•Poetry - Maulana Hasan Raza Sahab
•Chorus - Khuddam Uz Zahra Team
•Vocal Recording - AMU Studio
•Audio Mixing & Mastering - Studio 92
•Cinematography - Syed Faisal
•Video - Azadari Chitora
Lyrics 👇
Ghurbate Zehra pe tooti pasliya'n roti rahi'n
Aag ne matam kia aur lakdiya'n roti rahi'n
1-Jab Ali ke saamne darwaazae Zehra jala
Phir wahi'n jalta hua darwaza bibi par gira
Faatahe khaibar pe khud majbooriya'n roti rahi'n
2-Dil me hai daaghe pisar aur baap ki furqat ka gham
Pasliya'n saari shikasta aur baazu par waram
Haale zaare sayyada par sakhtiya'n roti rahi'n
3-Dukhtare shaahe huda par zulm jab had se badha
Baap ki furqat me rone par bhi pehra lag gaya
Fatema par Fatema ki siskiya'n roti rahi'n
4-Haaye kaisa tha sitamgar ke tamache ka asar
Gir gayi'n teora ke khud binte payambar khaak par
Aur zami'n pe gir ke dono baaliya'n roti rahi'n
5-Qatl ummat ne kia jab mohsin e mazloom ka
Khoone nahaq dekh kar ek beqata masoom ka
Khoon ke aansu shafaq ki surkhiya'n roti rahi'n
6-Har taraf tha gham ka manzar Fatema Zehra ke baad
Soona soona ho gaya ghar Fatema Zehra ke baad
Khana e Haider me bas tanhaiya'n roti rahi'n
7-Gham kabhi maa ka uthaya aur kabhi daaghe padar
Aur kabhi aansu bahaye shabbaro shabbeer par
Zindagi bhar Fatema ki betiya'n roti rahi'n
8-Aye Raza le Jaa rahe the jab Ali ko ahle shar
Peechhe peechhe daudti thi'n binte shaahe behro bar
Aisa manzar tha gale ki rassiya'n roti rahi'n
0 Comments