Haal E Yateemi | Ali Raza Irani | Nohay 2023 | Bibi Sakina Noha 2023 | Muharram 2023/1445
*******************************************************************
Video Info :-
Kalam Title | Haa E Yateemi
Reciter | Ali Raza Irani
Composed By | Ali Raza Irani
Poetry | Fidvi Lucknowi
Audio | ODS - Omer Qureshi
Vocal | Aashish Paliwal
Chorus | Rizwan Mirza & Team
Video Editing | Mazhar Lucknowi
Cover Design By | SZRR CREATIVE - Syed Zaki Raza
Album | Muharram 2023 / 1445
Islamic Date | Muharram
=======================
➽Lyrics:-
Haye baba haye baba
Mere baba mere baba
Aye baba is hale yateemi mein kitna mushkil mera jeena hai
Tum se bichadh ke zinda rah pana mere liye marne se zyada hai
1
Hoke yateema kitne tamache rukh par khati hun
Kano se khun aur aankho se ashk bahati hun
Uth gaya sar se baap ka saya sab se batati hun
Maqtal se tum aate nahi ho kitna bulati hun
Ahle sitam ne zulm hai dhaya
Kurte ka daaman bhi hai jalaya
Maine musibat mein aye baba tumko pukara hai
Sun lo meri fariyad mere baba
2
Ab mujhko apne seene par kon sulayega
Kon mohabbat se ab sar par haath phirayega
Kon hai ab jo mere dil ki pyas bujhayega
Is sahra se kon madfine lekar jayega
Baba tum seene pe sulalo
Zulmo sitam se mujhko bachalo
Aao to aur pucho to kya hale sakina hai
Sun lo meri fariyad mere baba
3
Aada ne mujhko jakda hai zulm ki rassi mein
Pusht pa durre bhi padte hain haaye yateemi mein
Kal talk thi aazad sakina ab hai aseeri mein
Kitna watan bhi yaad ata hai ayesi ghareebi mein
Jaati hun mai qaidi bankar
Is sahra mein barbad hua ghar
Karbobala se kufe ke bazar mein jana hai
Sun lo meri fariyad mere baba
4
Kufe ke bazar mein baba sab the tamashai
Kitna mujhko dukh pahucha tha kitni haya aai
Thoda sa paani aur na chadar koi mil paai
Bheed mein bhi mahsoos hui thi kitni tanhai
Kufe se ab sham safar hai
Chalni chalni mera jigar hai
Itna bata do kitni musibat aur uthana hai
Sun lo meri fariyad mere baba
5
Jaaun kahan mai raah me pushte naqa se girkar
Allaho akbar kaisi musibat aai hai ye mujhpar
Qafile waale choot gaye hain dhundhna hai dhoobhar
Ab na hai phuphiyan saath me mere aur na hai maadar
Charo taraf ik sannata hai
Seene mein dil ghabrata hai
Bichdi hui hun mai kunbe se tumko milana hai
Sun lo meri fariyad mere baba
6
Rah rah ke tadpata hai mujhko asr ka har manzar
Pyase par barsaaye sitam ne kis darja patthar
Sajda aur teeron ka musalla chalta hua khanjar
Ghash mein pada beemar baradar khaime ke andar
Kaisi musibat ki wo ghadi thi
Kitni mpareshan meri phuphi thi
Gham ki ghatayen chai hain ab bhi khun barasta hai
Sun lo meri fariyad mere baba
7
Tashte tala se uth ke meri god mein sar aaya
Tumne apne paas na mujhko ab tak bulwaya
Khwab me tumne le chalne ko mujhse hai farmaya
Qaide sitam mein dhundh rahi hun chain ka sarmaya
Aa gaya fidvi shah ka kata sar
Haye raza shabbir ki dukhtar
Mar gai ro kar aaj bhi zinda uska noha hai
Sun lo meri fariyad mere baba
0 Comments