Header Notification

Nohay 2023 | IK BERIDA KE BAIN LYRICS | Ahmed Raza Nasiri | Nohay 2023 | Mola Hussain Bibi Zainab Noha 1445

 

Nohay 2023 | IK BERIDA KE BAIN | Ahmed Raza Nasiri | Nohay 2023 | Mola Hussain Bibi Zainab (sa) Noha 2023 | Muharram Noha 2023/1445


Video info :-
Reciter | Ahmed Raza Nasiri
Noha Title | Ik Berida Ke Bain
Poetry | Yasir Abbas Shah
Composition | Nayyer Abbas (Skardu)
Chorus | Mir Basharat Baltistani, Ahmed Raza Nasiri
Audio | ODS
Video | Mahmood Ali Achoali
Edit | Turab Zaidi
Creatives | AR Graphics
Translation | Sister Zaynab Haider 
Digital Marketing | Samar Jafri (Digital Edge)

● N O H A - L Y R I C S ●

Ik be kafan ki laash pe ik be rida ke bain 
Haye meray Hussain

Sun kar ye bain goonj uthay Fatima ke bain 
Haye meray Hussain

◼️ Arsh e bareen ki aankh se aansu nikal paray 
Daasht e bala se khoon ke darya ubal paray 
Maqtal mai baad e asr thay is intiha ke bain 

◼️Bosay diay thay dis pe wo sookha hoa gala 
Khanjar ki kund dhaar se piyasa hi kat gaya 
Khizra se haye haye thay ye Mustufa ke bain 

◼️Binte Ali ke bain se duniya laraz gai 
Turbat mai moo ko peet ke ronay lagay ali 
Shehr e Najaf mai goonj uthay Murtaza ke bain

◼️Mazloom be khata meray piyaray meray Hussain
Zer e lahad Batool ne ro kr kiay ye bain
Zainab ne jab kiye the madine mai aakay bain 

◼️Be sar laho mai tar thi jo behal khasta tan
Laash e Hussain dekh ke teero Pai bekafan
Uthay baqi se bhai Hassan Mujtuba ke bain

◼️Ai meri jaan dil ke meray chain ya Hussain 
Fizza ne is trha se kiye bain ya Hussain 
Jesay sunnay thay dasht mai Khair un Nisa ke bain

◼️ Royi nahi wo apne kisi noor e ain par 
Ummul Banin royi hain Mola Hussain par
Jaari hain aaj tak bhi ye ummul wafa ke bain
 
◼️Jab lasha e Hussain Sakina ko mil gaya 
Kehnay lagi wo baap se dekho tw kia hoa
Krne lagi Hussain ko daman dikha ke bain

◼️Jalta hoa diya jo hawao se bujh gaya 
Sughra samj gai ye jafao se bujh gaya 
Krne lagi wo apne diye ko utha ke bain 

◼️Yasir ussi ke bain pe Ahmed hai noha gar
Maqtal mai baad e asr guluwe Hussain par  
Hatho ko ek maa ne kata kar kiay thay bain

Post a Comment

0 Comments