TERI MAJLIS HUSSAINa.s. | ALI KAZMI | New Exclusive Title Noha | Muharram 1445/2023
Ye Sog Rahay Tari Ta Hashar Rahaye Jari Lyrics
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain Lyrics
بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ
لا إلاه إلا الله محمد رسول الله عليٌّ وليّ الله
• ALI KAZMI | SAFAR...
TERI MAJLIS HUSSAIN(AS) TERA MATAM HUSSAIN(AS)
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Karbal Ki Sada Hai Yeh Zahra Ki Dua Hai Yeh
Sajjad Ki Sunnat Hai Zainab Ki Amanat Hai
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Yeh Hukm-e-Khuda Bhi Hai Ahmed Se Wafa Bhi Hai
Har Gham Ki Dawa Bhi Hai Samaan-e-Shifa Bhi Hai
Yeh Rab Ki Raza Bhi Hai Momin Ki Baqa Bhi Hai
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Kartay Hain Falak Waalay Kartay Hain Zameen Waalay
Voh Chaand Bhi Karta Hai Kartay Hain Sabhi Taaray
Kartay Hain Nabi Pyaray Kartay Hain Wali Saaray
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Ham Ibne Ali Tujh Se Waada Yeh Nibhaaein Gay
Abbas Ka Yeh Parcham Ham Dil Se Sajaaein Gay
Ham Farsh-e-Aza Tera Ghar Ghar Mein Bichaaein Gay
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Ham Hain hubdaar Tere Ham Hain Ghamkhwaar Tere
Ham Matamdaar Tere Ham Pursadaar Tere
Hain Dil Se Dua Kartay Maula Zawwar Tere
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Har Lab Pe Tera Charcha Har Dil Pe Hai Sultaani
Bhoolay Gi Na Yeh Duniya Maula Teri Qurbaani
Aalam Mein Nahin Koi Shabbir Tera Saani
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Ghazi Bhi Diya Tu Ne Akbar Bhi Diya Tu Ne
Qasim Bhi Diya Tu Ne Asghar Bhi Diya Tu Ne
Ghar Saara Kiya Qurbaan Aur Sar Bhi Diya Tu Ne
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Jawad Kahay Maula Gham Tera Rahay Jaari
Kartay Hee Rahain Gay Ali Iss Gham Se Wafadaari
Hamain Jaan Se Pyaari Yeh Teri Azadari
Yeh Sog Rahay Taari Yeh Sog Rahay Taari
Ta Hashr Rahay Jaari
Teri Majlis Hussain Tera Matam Hussain
Shaheed-e-Karbala Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Ghareeb-e-Nainawa Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Qateel e Bekhata Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Binaaey La Ilah Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
Hussain Hussain Imam Hussain
0 Comments