Nohay 2023 | Karbobala Ka Safar Lyrics | Syed Subbaib Abidi | Karbala Noha 2023 | New Nohay 2023/1445

 

Nohay 2023 | Karbobala Ka Safar | Syed Subbaib Abidi | Karbala Noha 2023 | New Nohay 2023/1445


Vocalist | Subbaib Abidi (Abd e Ali)
Poet | Zeeshan Abidi
Audio & Mix | Lawa Studio
Video | Focus Studio
Composition | Subbaib Abidi
Translation | Ambreen Raza (Austin)

Nohay 2023 | Karbobala Ka Safar Lyrics | Syed Subbaib Abidi | Karbala Noha 2023 | New Nohay 2023/1445


Karbobala ka safar Karbobala ka safar

Mushkil he Manta hun Lekin main janta hun karna hy mujhko magar Mola 

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

1) kab sy nahi dekha main ny tera roza
sunlo sada meri ae dilbar e zehra
har dil k paas ho tum ghurbar main aas ho tm
dekhy meri bhi nazar Mola

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

2) Doori sahun kesy tm bin rahun kesy
jo haal hy dil ka tm sy kahun kesy
qalb e shah e madina phir aesy kia jeena 
qismat main ho na agar Mola

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

3) Han apny chehry py khak e shifa mal k
jaun najaf sy main karbobala chal k
arman ye mera kardejye poora
bechain hun kis qadar Mola

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

4) jab bhibdua mangi teri ata mangi
babul hawaij sy bs karbala mangi
parcham k sae main dar par bulawaly hamain
mushkil kusha k pisar Mola

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

5) jab bhi zair koi rozay py jata hy
kar k ziarat wo ghar lot ata hy
kehta hy ro ro kar
dil reh gaya wahin par
karta hy aesa asar Mola

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

6) Pyasa raha run main sad kut gaya ban main
Zainab ny teer dekhy tery zakhmi badan main
han tery is safar ka jab ikhtetam hua
nezay pay tha tera sar Mola

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

7) qismat main ya mola likh karbala mola
apni khidmat ka ye dedy sila mola
zeeshan or subayab tery noho k sabab
karty rahain saal bhar Mola 

Karbobala ka safar Karbobala ka safar

Post a Comment

0 Comments