Jeetay Raho Mola Kay Shair Azadaro Lyrics - Hassan Ali - 2023 | New Muharram 1445 Noha

 

Jeetay Raho Mola Kay Shair Azadaro - Hassan Ali - 2023 | New Muharram 1445 Noha

=======================
Audio Credits
Noha: JEETAY RAHO MOLA KAY SHAIR AZADARO
Recited and Composed By: Hassan Ali
Poet: Zeeshan Abidi
Audio Engineering: Tirmah Zaidi
Audio Recorded: HAF Studio' USA
Video Credits
DOP: Seam Maksud
Editing: Sunrise Studio (SRS)
Creatives: Qasim Zaidi
____________________________________________

Jeetay Raho Mola Kay Shair Azadaro Lyrics - Hassan Ali - 2023 | New Muharram 1445 Noha Lyrics


Karrar Ho Jarrar Ho Jeedaar Ho Tum Hi
Jo Rok De Dushman Ko Wo Dewar Ho Tum Hi

Jeete Raho Mola a.s Kay Shair Azadaro

Fatima Zehra s.a Ki Dua Shah Kay Ghamkhuaro

1- Parcham e Abbas a.s Uthate Raho
Tum Ho Wafadar Batate Raho
Matam e Shabbir Ki Awaz Se
Saare Zamane Ko Hilate Raho
Chalte Raho Barhte Raho Haq Kay Parastaro

2- Koi Yazeedi Ho Saqifayee Ho
Jab Bhi Koi Baat Kisi Ki Suno
Karbobala Aur Fidak Ki Qasam
Shaam o Sahar Us Pe Tabbarra Karo
Haq Kay Liye Larte Raho Deen Kay Haqdaro

3- Tumse Hi Abbad Hai Farsh e Azaa
Haaye Hussiana Ki Hai Qaim Sada
Ghurbat e Shabbir Pe Rote Ho Tum
Tum Hi Nibhate Ho Nabi Se Wafa
Tum Pe Wafa Naaz Karay Sheh Kay Wafadaro

4- Fatima Zehra Ki Hai Hum Per Nazar
Laakh Zamana Ho Mukhalif Magar
Deen e Muhammad Ki Baqaa Kay Liye
Sar Ko Katainge Luta Denge Ghar
Koi Na Roke Ga Tumhen Qafila Salaro

5- Majlis e Shabbir Mein Aaya Karo
Sath Mein Bachon ko Bhi Laaya Karo
Aal e Muhammad Kay Udoo Kon Hain
Unko Har Ek Naam Bataya Karo
Yaad Rakho Marzi e Zehra Kay Talabgaro

6- Karbobala Jab Bhi Bulaaye Hussain
Bhool Na Jana Ye Ata e Hussain
Maut Tumhen Dekh Kay Marjaigi
Zinda Raho Sirf Baraaye Hussain
Tum Pe Salam Aye Mere Shabbir Kay Zawaro

7- Hai Yehi Zeeshan o Hassan Per Karam
Sheh Kay Azadaron Mein Shamil Hain Hum
Hum Hain Hussaini Ye Humen Fakhar Hai
Ghar Mein Humare Hai Jari Ka Alam
Log Humein Kehte Hain Jannat Kay Zamindaro

Post a Comment

0 Comments