Header Notification

Shahadat Muslim Bin Aqeel Noha 2023 | SALAM MUSLIM IBN E AQEEL LYRICS | Tejani Brothers Nohay 2023 | 9 Zilhaj Noha 2023 | Muharram New Nohay 2023 / 1445

 

Shahadat Muslim Bin Aqeel Noha 2023 | SALAM MUSLIM IBN E AQEEL | Tejani Brothers | 9 Zilhaj Noha


Recited | Tejani Brothers
Noha Title | Salam Muslim Ibn e Aqeel
Poetry | Arsalan Azmi
Audio | Lawa Studio Pakistan
Dop | EK Films
Post Production | ZMR
Album | 2023 / 1445H
Special Thanks: Tahir Kazmi
Venue: Imam Bargah Aale Muhammad, Reading (UK)
Islamic Date | 9th Zilhaj Shahadat Muslim Bin Aqeel 1444H/2023
Digital Marketing: Samar Jafri (Digital Edge)

Shahadat Muslim Bin Aqeel Noha 2023 | SALAM MUSLIM IBN E AQEEL LYRICS | Tejani Brothers Nohay 2023 | 9 Zilhaj Noha 2023 | Muharram New Nohay 2023 / 1445


Salaam Muslim Ibn e Aqeel as
ay safeer e maula hussain as
wazeer e maula hussain as
Salaam Muslim Ibn e Aqeel as

imaam e dee'n ki sifarat ka kaam tum nay kia
payam e deen ki hifazat ka kaam tum nay kia
akely kufa main wehdat ka kaam tum nay kia
naa khof khaya shujaa'at ka kaam tum nay kia
khuda kay deen nay kiaa
tumhara shukr adaa
shaheed ho k bhi zinda rahega naam tera


Imaam e waqt nay bhaai kaha tumhain muslim
hameesha saath main apny rakha tumhain muslim
safeer e shaah laqab mil gaya tumhain muslim
mila hay rutba ye had say siwa tumhain muslim
tumhara farz jo tha
ada wo tum nay kia
imaam k lie laakhoo'n say tum lary tanha


tumhary naam say ibn e ziaad kaanpta tha
tumhary khuun ki shujaa'at ko wo bhi jaanta tha
tum hi ho haq pay ye kufa bhi sara maanta tha
tumhary aagy parinda bhi par naa maarta tha
jo kaam foj ka tha
kiaa hay wo tanha
hay saltanat main tumhari hi aaj tak kufa


tumhain bulaya gaya phir dia gaya dhooka
bulandioon say giraya gaya tera lasha
tumhara lasha hay kuufy ki har gali main phira
kai dinoon to wo bazaar main pra hi raha
ye zulm joor o jafa
jo tere saath huwa
ye hashr tak na bhulaa paaigi kabhi dunia


Safeer e Shah e Huda par sitam mazeed huwa
Para Raha sar e bazaar uska tha lasha
Usse buland imarat se haaye pheynka gaya
Qadam qadam pe sitam haaye barsar e kufa
Hussain bhi roye tumhare haalat pe
Tadap ke ghazi ne bhi Apne sar ko peet liya

Salam aap ki ghurbat pe ay safeere Hussain
Salam aap ko pardes mei mila nahi cheyn
Salam aap se bichre jo dono noore ayn
Salam aap bhi unpar na kasake kuch bayn
Hussain ke jaisa 
Naseeb paya tha
Shaheed hogaya paani na waqte naz'a mila

Suno Tejani o azlaan e azmi ka salaam
har ik wali ki salami har ik nabi ka salaam
hussain as ibn e ali as ba khuda jari ka salaam
janab e fatima zahra sa ka or ali as ka salaam
shaheed e raah e khuda
hay tera rutba siwa
salaami arsh say khud bhejta hay tum ko khuda

Post a Comment

0 Comments