Ayyam E Fatimiyah Noha 2023 | Mazlooma Banaya Zahra Ko - Ali Raza Irani | Bibi Fatima Noha 2023
●In the name of Allah, the most gracious, the most merciful.
New Noha 2023 Ayyam E Fatimiyah | Mazlooma Banaya Zahra Ko - Ali Raza Irani | Noha Shahadat Bibi Fatima Zahra 2023 - Ayyam e Fatmiyah Noha 2023 / 1444 | New Noha 2023 - Bibi Fatima Zahra Shahadat Noha 2023 - Bibi Fatima Noha 2023| Ali Raza Irani - Noha Ali Raza Irani - Ayyam E Fatimiyah New Noha 2023 | Mazlooma Banaya Zahra s.a Ko - Ali Raza Irani | Ayyam E Fatima s.a
Video Info -
Title | Mazlooma Banaya Zahra s.a Ko
Reciter | Syed Ali Raza Irani
Poetry | Mazhar Lucknowi
Composer | Syed Ali Raza Irani
Chorus | Rizwan Mirza & Team
Vocal | Aashish paliwal
Audio Mixing & Mastering | ODS - Omer Quraishi
Camera | Hajari Films
Video Edit By | Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
Concept & Direction | Syed Mahdi Hasan Irani
Label | Ali Raza Irani
Special Thanks To All My Team Who Supported Me.
Masuma Se Bade Nabi Mazlooma Banaya Zahra Ko Lyrics, Be Deeno Ne Dhaye Sitam Be Jurm Rulaya Zahra Ko Lyrics Noha Lyrics
Masuma se bade nabi mazlooma banaya zahra ko
Be deeno ne dhaye sitam be jurm rulaya zahra ko
Cheen ke haq gham ayesa dia jis gham ka utha mushkil tha
Qatl kia batne madar me ahle shar ne mohsin ka
Pahlu par darwaza dhaya durra lagaya zahra ko
Sang dilon ne sang dili ki har ek had ko paar kia
Ek masoom ko dunia me aane se hi pahle maar dia
Pasliyan todi dhaye sitam bejurm sataya zahra ko
Beech me thi diwaro dar ke saas bhi lena mushkil tha
Zulm ka hamla aag ke shole jaan ke jaane ka khatra
Ahle madina ne na madad ki aur na bachaya zahra ko
Pahlu shikasta aankh me aansu ghash me padi thi masooma
Wo manzar ke dekh ke jisko khud ka sambhalna mushkil tha
Kaise sambhala dil ko ali ne kaise uthaya zahra ko
Gham me padar ke ghamgeen hai zahra jaante the ye baat laeen
Pursa dena chahiye tha jis bibi ko eezayen deen
Arshe bari bhi kaanp utha itna tadpaya zahra ko
Kaise hui mohsin ki shahadat aag lagai thi kisne
Diwaron dar denge gawahi roze mahshar ro ro ke
Zulmo sitam ka kisne nishana aake banaya zahra ko
Ghar me thi kulsoomo zainab shabbiro shabbar bhi the
Maa par meri zulm na dhao bacche roke kahte rahe
Ek na suni fariyad laeeno ne tadpaya zahra ko
Mangne se bhi haq na mila ye soch ke har dam roti rahin
Daagh pisar ka dil pe uthaya ghar bhi jala zakhmi bhi huin
Baade payambar shahre madina raas na aya zahra ko
Ashk huye aankho se jaari mahdi hasan mazhar o raza
Zakhme pahlu dekh ke itna roye ali dil tukde hua
Baade shahadat ghusl dia jisdam kafnaya zahra ko
0 Comments