Header Notification

Nohay 2022 | Shaam Ka Bazar Lyrics | Hussain Raza Kazmi New Noha 2022 | Muharram Nohay 2022-1444H


Nohay 2022 | Shaam Ka Bazar | Hussain Raza Kazmi | Muharram Nohay 1444

---------------------------------------------------------------------------- 
Kalam Title: "Shaam Ka Bazar"
Central Idea/Composition | Hussain Raza Kazmi
Poetry By | Sheraz Haider Ghader
Chorus | Own Rizvi & Team
Audio | ODS Karachi
Video | TNA Production (Ali Armaan)
Video Optimization: Samar Jafri
Gfx | Imran Hussain
Special Thanks | Muhammad Mehdi, Azam Raza, Maisam Ali, Ahsan Jafri, Ghalib Zaidi & Team

---------------------------------------------------------------------------- 

Nohay 2022 | Shaam Ka Bazar Lyrics| Hussain Raza Kazmi New Noha 2022 | Muharram Nohay 2022-1444H

"SHAAM KA BAZAR"

Ranj O Ghum Ki Aik Duniya Sham Ka Bazar Hai
Be-Rida Hai Bint E Zahra(s.a) Sham Ka Bazar Hai

Ro Rahi Yeh Dekh Kar Khud Aya E Tatheer Hai
Majma E Kuffar Hai Aur Zainab E Dilgeer(s.a) Hai
Ismat'ein Hain Mehway Girya Sham Ka Bazar Hai

Qatl E Zahra(s.a) Main Bhi Shamil Jinkay Sub Ajdaad Hain
Unn Khabeeso'n Ka Nishana Syed E Sajjad(a.s) Hain
Bugh E Haider Ka Nateeja Sham Ka Bazar Hai

Keh Rahi Hai Yeh Sakina(s.a) Zainab E Zeeshan(s.a) Say
Beh Raha Hai Khoon Ab Bhi Mere Zakhmi Kaan Say
Khoo'n Main Tar Rasta Hai Saara Sham Ka Bazar Hai

Aal E Ahmed(a.s) Pay Gai Barish Patharo'n Ki Aag Ki
Aur Uss Par Zulm Yeh Kay Taanay Deytey Hain Shaqi
Kiya Karey Zahra(s.a) Ka Qunba Sham Ka Bazar Hai

Dill Pay Shahzaadi Kay Khanjer Yun Chalatey Hain Shaqi
Fakhr Say Yeh Rahay Hain Dushman E Aal E Nabi(s.a.w.w)
Khandaq O Khayber Ka Badla Sham Ka Bazar Hai

Bss (Ghadeer) Itna Hi Likh Kar Mera Khama Rodiya
Ghorhay Ki Garden Main Tha Wa'n Sar Bandha Sajjad(a.s) Ka
Aur Tha Abid Ka Noha Sham Ka Bazar Hai

Post a Comment

0 Comments