Zain Ali Rizvi | Sughra(a.s) Ko Sakina(a.s) Roti thi | New Noha 2022/1444
============ Sughra Ko Sakina Roti thi Noha Lyrics============
Jab Chand Muharram ka Nikla ,
Thay aik Madina , Karbobala
Sughra (sa) Ko Sakina (sa) Roti thi ,
Roti thi Sakina (sa) ko Sughra
Pardes mein ek sehti thi Sitam ,
ek Dais mein karti thi Maram ,
ashkon ke deep jalati thi ,
qismat ke andheron mein peham ,
Dono ke labon per rehti thi bas aik sada e wawaila ,
Sughra ko Sakina Roti thi , Roti thi Sakina Sugha
Sughra tou watan mein sehti thi
maa baap ka ghum aur tanhayi ,
Thi sath sakina baba ke
sehti hi rahi per dukh wo bhi ,
Jab sham dhali sooraj dooba aur nind ka Hota tha lamha ,
Sughra ko Sakina Roti thi , Roti thi Sakina Sugha
Ek ghar mein wahan beemar bahan,
Ek maqtal mein lachar bahan ,
Dono ko Bari hasrat thi ye hi ,
Laeinge Ali Akber as Ki dulhan,
Afsos magar ye ho na saka aur soch ka bhaiyya ka sehra
Sughra ko Sakina Roti thi , Roti thi Sakina Sugha
Ye ranj o mahan ki qaid mein thi ,
Wo sham ke zinda’n Ki Qaidi,
Ye dais mein ro tou laiti thi,
Wo ghut ghut kar bhi ro na saki ,
Dono hi tarapti rehti thin dono ko andheron ne maara
Sughra ko Sakina Roti thi , Roti thi Sakina Sugha
Jo haal sakina ka tha wahan,
Wo haal yahan sughra ka hua ,
Ek qabr ke jesa zindaa’n tha,
Ek ghar zindan ke jesa tha ,
Baba baba keh kar dono karti hi rahin girya Noha
Sughra ko Sakina Roti thi , Roti thi Sakina Sugha
Gar isko mayassar thi na dawa ,
Tou wo bhi rahi be aab o Ghiza,
Thi aik ko dharas Nani sAur ek ko Dilasa bhi na Mila ,
Dono behnon ko wirsay mein kuch bhi na mila bas ghum ke siwa
Sughra ko Sakina Roti thi , Roti thi Sakina Sugha
Salman likhay ka kese qalam ,
Sughra o sakina ke wo ghum ,
Ek baap ke ghum mein roti thi ,
Daikha ek ne sar hotay qalam ,
Aye mohsin e ghum Mola as Ki qasam jab tak wo rahin dono Zinda
0 Comments