8 Shawal Noha 2022 - QABRE ZAHRA DHOOP MAIN HAI - Ali Raza Irani Noha -Inhedam e Jannat ul Baqi 2022
👉🏻LYRICS INCLUDED BELOW
Video Details:
👉🏻Title : Qabre Zahra Dhoop Main Hai
👉🏻Reciter: Syed Ali Raza Irani
👉🏻Poet: Mazhar Lucknowi
👉🏻Composition: Syed Ali Raza Irani
👉🏻Backing Vocals: Rizwan Mirza & Team
👉🏻Audio Recording: Ashish Paliwal
👉🏻Mix/Mastered: M. Omar Qureshi (ODS)
👉🏻Camera : Hajari Films
👉🏻Video Edit : Mazhar Lucknowi (New Track Studio)
👉🏻Label: Ali Raza Irani
Special Thanks To All My Team Who Supported Me.
Get Connected To Ali Raza Irani on Social Media :
8 Shawal Noha 2022 - QABRE ZAHRA DHOOP MAIN HAI LYRICS - Ali Raza Irani Noha -Inhedam e Jannat ul Baqi 2022
Haye Sayyeda Haye Sayyeda
Qabre zahra dhoop main hai door tak saya nahi
Qye musalmano ye tum ne aaj tak socha nahi
Jiska baba tajdare ambiya shahe zaman
Uska roza munhadim hai hai jo khatune jina
Ye sitam tumne madine jaake kya dekha nahi
Fatima wo maa hai jiske 11 bete hain imam
Aur laqab umme abiha dukhtare khairul anaam
Zalimo ne fatima ka martaba samjha nahi
Chor ke insaniyat ke aur shariat ke usool
Dha diya hai zalimo ne rozaye binte rsaool
Wo mitaya jisse badh ke koi sarmaya nahi
Jiska saya bhi farishton ne nahi dekha kabhi
Hai lahad be saya uski har taraf hai teergi
Kalma goyo zulm ye tumko nazar aya nahi
Wo jo bibi fatima ka ghar jalane aaye the
Jisne dhaya rozaye zahra hain unki nasl se
Hain ye dahshat gard ab ye baat poshida nahi
Pasliyan tuti hui hain dil pa hai mohsin ka gham
Qabr me bechain hai binte shahanshahe umam
Mustafa ke baad zahra ne sukoon paya nahi
Rozaye zahra hua jab munhadim tum chup rahe
Roye hum zahra ki mazloomi pa dil ko tham ke
Aik aansu bhi tumhare aankh se nikla nahi
Lab pa hai mahdi hasan mazhar raza ke ye dua
Rozaye zahra ki ho taameer aye ahle aza
Har taraf hain mushkile aasan koi rasta nahi
0 Comments