Header Notification

Yehi Kufa Hoga Lyrics | Syed Meesam Ali Mehdi | 21 Ramzan Noha | New Noha 2022 | Shahadat Mola Ali Noha


Yehi Kufa Hoga | Syed Meesam Ali Mehdi | 21 Ramzan Noha | New Noha 2022 | Shahadat Mola Ali Noha

Noha Title | Yehi Kufa Hoga
Reciter, Poetry and Composition | Syed Meesam Ali Mehdi 
Audio Arrangement | Premier Studio Lahore (Khurram Murtaza)
Audio Master & Mixing | ODS Karachi (Omar Qureshi Sb)
Video Editing | The Focus Studio 
Graphics | The Focus Studio

When a father is about to leave this world he doesn't worry for his sons as much as he worries for his daughters. No matter how difficult times get, a son will try to bear it and overcome it as much as he possibly can, however, daughters are much more sensitive and soft-hearted. Maybe this is why in his final moments, Imam Ali (as) was crying, remembering the tragedies that will come upon his daughters from Shaam-e-gharibaan until their return to Medina. This noha from the perspective of Imam Ali (as) in his final moments explaining to Imam Sajjad (as), who was only 2 years old at the time, what the scene will be the next time they will be in Kufa just over 20 years later. 

Imam Ali a.s Shahadat Noha- New Noha Ayyam e Ali as - Meri Zainab sa hogi yehi Kufa hoga Lyrics Noha Lyrics**

Chor kar jaanay lagay duniya ko jab ke Murtaza
Ro ke kamsin Syed-e-Sajjad se us dam kaha
Zindagi mein paaoge ranj-o-mahan sab se juda
Tum ne kat-te dekhna hai apne baba ka gala
Haan magar ik gham hai jo tum ko bohot tarpaaega
Sab se mushkil tum pe waqt-e-imtehaan ye aaega

Meri Zainab hogi yehi Kufa hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Dekh kar jis ki taraf paata hai dil us ka qaraar
Zaat mein apni hai jo chaadar-e-Zainab ka hisaar
Sar usi Ghazi ka sar-e-neza hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Sochtay sochtay khud aansu nikalte hain mere
Kis tarha badle chukaaegi mere logo se
Jab ke dushman mera ye zamaana hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Shehr ke log sabhi maarenge mil kar pathar
Haath bhi rakh nahi paaegi wo apne mu par
Khoon mein tar us dam us ka chehra hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Main ne jo Zahra ke haathon pe tha hotay dekha
Saani-e-Zahra pe tum dekhoge zulm ik waisa
Pusht-e-Zainab hogi aur durra hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Laai jaaegi wo joonhi sar-e-darbaar-e-sitam
Maar daalengi usay utthti nigaahen us dam
Bebasi ka us ki yoon tamaasha hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Jis ghari jaaegi darbaar mein beti meri
Be-rida ho ke na lehje ki rida choregi
Jab wo khutbe degi mera lehja hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga

Zabt Meesam na raha Mola ka ye kehte hooway
Phool si beti meri us pe chalegi kaise
Shaam mein khaaron ka jab wo rasta hoga
Hogi haathon mein rasan sar pe na parda hoga
#YehiKufaHoga #21RamzanNoha​​ #21RamazanNoha #SyedMeesamAliMehdi​​ #noha2021​ #ImamAliNoha2022​​ #ImamAliNoha1443​​ #MeriZainabHogi #BibiZainabNoha​​ #MeesamAliMehdi​​ #MeesamMehdi​​ #NewNoha​​ #ImamAliShahadat​​ #newnoha2022
#21Ramzan​ #ImamAliNoha #ImamAliShahadatNoha #BibiZainab 

Post a Comment

0 Comments