Alwada Alwada Mahe Ramzan
Qalbe -Aashiq He Ab Para Para
Alwada Alwada Mahe Ramazan
Tere Aane Se Dil Khush Huwaa Tha
Aur Zoake -Ibadat Badhaa Tha
Aah Ab Dil Pe He Gam Ka Galbaa
Alwada Alwada Mahe-e-Ramazan
Naikiyan Kuchh Na Hum Kar Saken Hen
Aah Issiya Hi Me Din Katain Hen
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzaara
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan
Koi Husn-e-Amal Na Kar Sakaa Hoo
Chand Ansoo Nazar Kar Rahaa Hoo
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan
Jub Guzar Jayenge Mah Giyaraa
Teri Aamad Ka Aamad ka Phir Shoor Hoga
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosaa
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan
Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee
Sub Sama Hogaya Suna Suna
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan
Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee He
Keh Raha Hai Har Aik Qatra
Alwada Alwada Mah-e-Ramzan
Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe He
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe He
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa
Alwada Alwada Mahe Ramzan
Sag-e-ATTAR Badkar Qahil
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil
Is Se khush Hoke Hona Rawana Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN
Aae Musalman Tho Zinda Rahoge
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa
Saal-e-Ainda Shah-e-Haram Tum
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana
Tum Madiney Mai Ramadan Dikhana(AAMEEN)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan
Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana
Roz-e-Mehshar Humain Bukhshwana(Aameen)
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Ramzan
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-e-Gufran
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara
Alwada Alwada Mah-e-Ramadan
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN
ALWADA ALWADA MAHE-E-RAMZAN
0 Comments