Ayyam e Aliع| Wasiyat e Ali ع| Mai Jaa Raha Hoon| SyedAliMeesumAbidi |Moula Ali Noha 21 Ramzan 2022
Recited By | Syed Ali Meesum Abidi
Kalam | Wasiyat e Aliع | Mai Jaa Raha Hoon|
Poetry & Composition By | Janab Zeeshan Abidi
Background Support | Farhan Razvi, Meer Alamdar, Shanawaz Ali, Mohd Hussain
Media Partner | Azadari Hyderabad
Audio Mixing | ODS Karachi (Omer Qureshi)
Video | Razvi Records
Video Editing | SAM Records
Cover Design By | Kazim Mehdi
Ayyam e Aliع Lyrics| Wasiyat e Ali ع| Mai Jaa Raha Hoon| SyedAliMeesumAbidi |Moula Ali Noha 21 Ramzan 2022
Yaad Arahi Hai Hai Rukhsat e Haider ki wo Ghari
Kehte The Sab ko pass Bitha kar yehi Ali
Main Ja Raha Hoon Meri Wasiyat Na Bhoolna
Deen e Muhammadi ki Hifazat Na Bhoolna
Dekho Hassan Ye Tumse Wasiyat Hai Mere Laal
Ab Mere Baad Rakhna Yateemon Ka Tum Khayal
Abbas Ko Gale Se Lagaya to ye Kaha
Jab Tak Tumhare Hath Salamat Hain Bawafa
Behnon ki Chadaron ki Hifazat Na Bhoolna
Zainab Suno Main Sham e Ghariban Mein Aonga
Phir Karbala Se Sham Talak Sath Jaonga
Bas Tum Mere Hussain a.s ki Ghurbat Na Bhoolna
Kulsoom Aur Ruqaiyya Jab Ajaaye Koi Gham
Zainab Ka Sath Tumne Nibhana Hai Har Qadam
Ye Baat Meri Waqt e Musibat Na Bhoona
Shabbir Ye Sitam Kay Rukenge Na Silsilay
Sar Per Tumhare Sajde Mein Talwar Jab Chale
Us Waqt Apne Baba Ki Zarbat Na Bhoolna
Jab Qaid Hokay Betyian Jainge Be Rida
Fizza Tumhen Hi Dena Hain Us Waqt Hosla
Hai Fatima a.s ki bhi ye Wasiyat Na Bhoona
Mesum Ab Aur Kia Likhe Zeeshan Abidi
Ro Rokay Apne Bachon Se Kehne Lage Ali
Main Sath Sath Hoon Ye Haqiqat Na Bhoolna
0 Comments