Header Notification

21 Ramzan Noha 2022 | Ali (a.s) Shaheed Huye Lyrics | Shahadat Imam Ali Noha 2022 | Sayed Abbas Baqri


21 Ramzan Noha 2022 | Ali (a.s) Shaheed Huye | Shahadat Imam Ali Noha 2022 | Sayed Abbas Baqri

Kalam | Ali (a.s) Shaheed Huye
Recited By | Sayed Abbas Baqri
Poetry By | Sameer Naqvi
Composition | Sayed Abbas Baqri
Creatives | Baqri Production
Audio | Javed Azad
Video | Baqri Production

21 Ramzan Noha 2022 | Sayed Abbas Baqri | Shahadat Imam Ali Noha 2022 | Ali (a.s) Shaheed Huye Lyrics

Ye kaisi Aayi musibat Ali shaheed huye
Saro ko peeto ki hazrat Ali shaheed huye

Na karna ek bhi sajda qaza kisi surat
Yateemo be-kaso muflis ki dil me ho ulfat
Ye karke ham ko nasihat Ali shaheed huye 

Ab kon bhuko ko khana khilayga aakar
Ghareebo bewao qaidi ka na raha hamsar
Yateem hogayi ummat Ali shaheed huye 

Ye noha padhte hain jibreel ghamzada hokar
Lahad me rote hain Ahmad bhi siskiya lekar
Lo khake sajde me zarbat Ali shaheed huye 

Hasan Hussain tadapte hain roke kahte hain
Aye bahano chhord ke baba hamare jate hain
Karo ab Aan ke rukhsat Ali shaheed huye 

Hai roza girya kuna or namaze hai be-chain
Udas aj bohat hain ibadate saqlain
Bujha charaghe hidayat Ali shaheed huye

Hamesha taqwaye parwardigaar me rhna
Or na zulm ka hargiz bhi sath tum dena
Hasan ko kar ke ye wasiyat Ali shaheed huye 

Ye hai sakhawate Haider ki rukhsate akhir
Pilaya apne hi qatil ko sharbate tahir
Ajab ye kar k sakhawat Ali shaheed huye 

"Sameer" zainab o kulsum roke ye boli'n
Hamre dil ko aye "Abbas" chain ata nhi'n
Ye kaisi agayi aafat Ali shaheed huye

Post a Comment

0 Comments