SHABAN....
Imaan ka irfan, ye irfan muazzam
Yani shaoor e deen hai shaban muazzam
Har saal kaye aadmi jaate hain Karbala
Har saal kaye bante hain insaan muazzam
Shaban ka mahina....
Shaban ka mahina....
Imaan ka mahina, Shaban ka mahina
Labbaik ya Hussain ke elaan ka mahina
Shaban ka mahina
➽ Har maah ke lie hai ye maah e sarfarazi
Shabbir or Zainab, aaye hain isme Ghazi
Quran par hai yani quran ka mahina
➽ Ab Mustafa mujh se Hussain hai ye
Or me Hussain se hun elaan mera suniye
Hai daste Syeda ke palaan ka mahina
➽ Akbar ke noor ki ye tanzeel ka mahina
Hai noor e Mustafa ki tamseel ka mahina
Yani har ik jawaan ki pehchan ka mahina
➽ Is maah sab hussaini jannat me jaa rahe hain
Sab Karbala ke zaair naare laga rahe hain
Ye hai yaziyat ke nuqsaan ka mahina
➽ Saare munafiqoun ki hogi zabaan bandi
Sab kaazibo ki hogi ab to bayaan bandi
Ye hai sahi sahabi Salman ka mahina
➽ Jashn e Hussaniat hai har surkhuru watan me
Sham o Iraq me or Lebanon me Yemen me
Sehoniyat pe bhaari Iran ka mahina
➽ Daawe daleel saare raddi me daalne hain
Bus Alajal me Yasir lamhe guzarne hain
Hai barhwain khudayi burhaan ka mahina
Shaban...
Shaban...
Shaban!
Comments
Post a Comment