Shaban Manqabat 2022 | Matami Hoon Main | Hussain Raza Kazmi | New Manqabat 2022
Shaban Manqabat 2022 | Matami Hoon Main | Hussain Raza Kazmi | New Manqabat 2022 Exclusive Manqabat | Matami Hoon Main | Arrival of Blessed Month of Shabaan-Ul-Muazzam 2022 / 1443 | Hussain Raza Kazmi New Noha 2022 |
Kalam Title | Matami Hoon Main
Recite & Composed By | Hussain Raza Kazmi
Poetry By | Noor Ali Noor
Paishwayii | Own Rizvi
Chorus By | Own Rizvi,, Awais Taqvi,, Raza Jaffery
Audio & Master/Mixing | ODS(Karachi)
Video By | TNA Production
Special Thanks | Muhammad Raza Kazmi
Gfx | Faizan Naqvi
Matami Hoon Main Manqabat Lyrics
Duniya Jahan Khilaaf E Aza Bolnay Lagi
Har Matami Main Karbobala Bolnay Lagi
●Main Bint E Mustafa(s.a.w.w) Ki Dua Matami Hoon Main
Hai Khaas Mujh Pay Rub Ki Ata Matami Hoon Main
Matam Hi Bss Hai Kaam Mera Matami Hoon Main
Ka'aba Hai Mera Karbobala Matami Hoon Main
Ishq E Hussain(a.s) Say Hi Sajaya Gaya Mujhe
Matam Kay Wastey Hi Banaya Mujhe
●Khilqat Hui Hai Ghum Yeh Mananay Kay Wastey
Akhein Mili Hain Ashk Bahanay Kay Wastey
Payii Zubaan Noha Sunanay Kay Wastey
Pao'n Milay Juloos Main Jaanay Kay Wastey
Seena Ghum E Hussain(a.s) Ki Tehreer Kay Liye
Meri Kamar Hai Matam E Zanjeer Kay Liye
●Sub Mosam'on Main Aik Hi Mosam Ka Intezaar
Bazm E Khushi Main Mujh Ko Rahay Ghum Ka Intezaar
Majlis Ka Aur Halka E Matam Ka Intezaar
Karta Hun Saal Bhar Main Muharram Ka Intezaar
Yeh Intezaar E Ghum Na Kabhi Kum Karunga Main
Turbat Main Bhi Hussain(a.s) Ka Matam Karunga Main
●Har Ik Wujood Chaar(4) Anasir Say Hai Bana
Main Matami Hoon Mere Anasir Hain Kuch Juda
Meri Hawa Hai Parchum E Abbas(a.s) Ki Hawa
Matti Hai Meri Rub Ki Qasam Khaak E Karbala
Paani Hai Chashmay Abid E Muztar Ki Dhaar Say
Aur Aag Li Gayi Hai Meri Zulfiqar Say
●Rutba Mila Hai Mujh Ko Yeh Parwardigaar Say
Matam Hamesha Karta Rahunga Wiqaar Say
Yeh Ikhteyaar Paya Shah E Zulfiqar Say
Fatwo'n Kay Sar Ko Kaata Hai Matam Kay Waar Say
Karta Hun Be-Naqaab Main Rukh Har Paleed Ka
Matam Say Mere Dukhta Hai Seena Yazeed Ka
●Har Matami Ko Jaan Say Piyaari Hai Karbala
Khoon E Hussain(a.s) Nay Jo Nikhaari Hai Karbala
Haarey Gi Aur Noor Na Haari Hai Karbala
Har Matami Ki Shakl Main Jaari Hai Karbala
Saya Hai Matami Pay Shah E Mashraqain(a.s) Ka
Har Matami Hai Aik Sipahi Hussain(a.s) Ka
0 Comments