BAS ALI ع CHAHIYE | New Manqabat 2022 | 13 Rajab Manqabat | Farhan Razvi | Moula Ali | 2022 / 1443
______________________________________
Reciter: Farhan Razvi
Poet: Mohsin Kamaal
Composed: Mesum Zaidi
Audio: Lawa Studio
Video: Razvi Records
Camera : Syed Ali Meesum Abidi
Edit & Graphics: Minhaj Ahmed
Background Support: Syed Ali Meesum Abidi
Waheed Ali
kamran Zaidi
Mir Rizwan (APS)
Media Partnar: Azadari Hyderabad
-----------------------------------------------------------------------------
BAS ALI CHAHIYE LYRICS
Dum Huma Dum Ali Ali.. Ali Ali Moula Ali
Ali Moula Ali Moula Ali Moula Ali Moula
Hyder Hyder Hyder Hyder
Ali ke ishq me jaari hai zindagi ka safar
Hamaare waaste Raah e Najaat Aisi Hai
Hai'n 5 ungliyaa'n Jistarha Saamne Mere
Ali Ke Saamne Kul Kayenaat Aisi Hai
Maal o daulat nahi
Mjhko shohrat nahi
Kuch nahi chahie
Bus Ali chahie
Har Fazeelat Ki Bulandi Pe SarAfraaz Ali
Khilqat e Koun o Makaa'n Ke Liye Aghaaz Ali
Saare Nabiyou'n ki Nabuwwat ka Hai DamSaaz Ali
Rab Ka Hamraaz Hai
Haq Ki Awaaz Hai
Aagahi Chahiye
Bas Ali Chahiye
8 (Aath) Hijri Me Ye Awaaz e Dil e Kaaba Hai
Mere Mabood Ajab Mujhpe Sitam Hota Hai
Kaafirou Ne Mujhe ButKhana Bana rakha Hai
Gar Karam Paunga
Mai Sanwar Jaunga
Bandagi Chahiye
Bas Ali Chahiye
Ek Din Khaatema-e-Arz o Sama Hona Hai
Ye Haqeeqat Hai k Saansou Ko Juda Hona Hai
Haq Hai Juz Wajhe Khuda Sabko Fana Hona Hai
Aarzzu Hai Yahi
Mout Ke Baad Bhi
Zindagi Chahiye
Bas Ali Chahiye
Ali Moula Ali Moula Ali Moula
Har Ek Dua Ko Saleeqa Ali Se Milta Hai
Khuda Se Maango To Moula Ali Se Milta Hai
Hamaara Aapka Kya Zikr Ambiya Ko Bhi
Museebatou Me Sahara Ali Se Milta Hai
Bas Ali Chahiye
Jang e Khaibar Me Kayi Roz Faqat Haar Mili
Fouj e Haq Lashkar e Kuffaar Se Paspa Jo Huwi
Ye Sada Deke Nabi Padhne Lage Naad e Ali
Sher e Yazdaa'n Hai Jo
Marde Maidaa'n Hai Jo
Haa'n Wohi Chahiye
Bas Ali Chahiye
Chhord Kar Tanha Har Ek Apna Chala Jaayega
Jo Ali Waala Nahi Hai Wohi Pachtaayega
Qabr Me Aur Na Koi Dusra Kaam Aayega
Hoga Veeraa'n Makaa'n
Ho'ngi Taareekiyaa'n
Roushni Chahiye
Bas Ali Chahiye
Louh o Qalam, Arsh e Baree'ñ, Hoor o malak, Arz o Sama
Sab Ki Hai Bas Ek Sada Tujh Pe Ali Jaan Fida
Shams o Qamar Me Bhi Tere Naqsh e Qadam Ki Hai Ziya
Haq Ki Qasam Subho Masa
Kehta Hai Imaan Mera
Bas Ali Chahiye
Kaise Farhaan O Kamaal Uske Fazael Ho Raqam
Gaad Deta Hai Jo Pathar Me Bhi Haq Ka Parcham
Dushmani Jiski Jahannum Hai Mohabbat Hai Iram
Sirf Uski Wila
Qurbat e Kibriya
Har Ghadi Chahiye
Bas Ali Chahiye
Dum Huma Dum Ali Ali.. Ali Ali Moula Ali
0 Comments