Header Notification

13 Rajab Manqabat | Ya HAIDER YA ALI MOLA LYRICS | Mohammad Ali Moshi Baltistani New Manqabat 2022

13 Rajab Manqabat 2022 | YA HAIDER YA ALI MOLA | Mohammad Ali Moshi Baltistani | Mola Ali Manqabat

Video Info:
Manqabat | Ya Haider Ya Ali Mola
Reciter | Mohammad Ali Moshi Baltistani 
Poetry | Syed Sajjad Athar Mosvi
Composed By | Nayar Abbas (Skardu)
Chorus | Mohammad Ali Moshi Baltistani, Mir basharat baltistani , Mutahir (RAO) , Ahmed Raza Nasiri
Translation | Sister Alisha Hassan Zaidi
Audio | RWDS
Video | Sing Ong Skardu (Basit)
Creatives | Shuja Gfx  

YA HAIDER YA ALI MOLA LYRICS

Ya haider ya haider ya ali mola

Hai phir lab par sanaye haidare karrar ya haider
Karam ka silsila hai az dare anwaar ya haider
Charage midhate husne gule gulzaar ya haider
Wasiyo jane shine sayyade abraar ya haider

Hukumat teri roze hashr tak jariwo saari hai
Salatine jahaan par naam tera sabse bhari hai
Abhi tak zulm ke chehre pe tera khouf tari hai
Khuda ke dushmanu par bhi tu hai qahaar ya haider

Lisanullaho aynullah teri tawseef hai mawla
Yadullah aur wajhullah Teri tareef hai mawla
Khuzanullaho ilmullah teri tasreef hai mawla*2
Hai guftare khuda wandi teri guftaar ya haider

Sabi asmaye husna lafz hai tu unka maana hai
Jaha saara hai qatre ki tarah tu misle darya hai
Khudai mai jaha bar ki mere mawla tu yaqta hai*2
Hai teri zaat ikh ganjeenaye asraar ya haider

Sitam ka dour doraa hai adalat ki zarurat hai
Yaha ey buth shikan teri shujaat ki zarurat hai
Yahudi nasal par phir teri zarbat ki zarurat hai*2
Hai tu hi khalq mai allah ki talwaar ya haider

Hussaini khoon se rangeen hai khaakhe eshiya phir se
Yazidee fauj hai masroofe dastoore wigha phir se
Bani hai har jagah taswire dashte karbala phir se*2
Zaroori hai zamane mai phir ikh mukhtaar ya haider

Tere panjo mai hai asraare kudrat ki nigeh baani
Tere hatho mai hai ramze baqaye nasle insaani
Bachalo safhaye hasti ko az afaate wirani*2
Tere qabze mai hai awqaat ki raftaar 
ya haider ya haider


Ataa ki had nahi tu rizq deta hai samandar ko
Muhabbat ishq aur irfan deta hai qalandar ko
Gadagar hai tere dar ka tou moshi aur athar ko*2
Ataa karde zabaane misaame tammar ya Haider...

Post a Comment

0 Comments