Header Notification

Zahra sa Sitam Utthaati Rahi Lyrics | Syed Meesam Ali Mehdi | Noha Bibi Fatima 2022 | Ayam e Fatimiyah 2022

 

Zahra sa Sitam Utthaati Rahi | Syed Meesam Ali Mehdi | Noha Bibi Fatima 2022 | Ayam e Fatimiyah 2022

13 Jamadi-ul-Awwal - 3 Jamad-us-Sani - Bibi Fatima sa Shahadat Noha - Ayam e Fatimiyah Noha
Video info :-
Noha Title | Zahra sa Sitam Utthaati Rahi
Reciter | Syed Meesam Ali Mehdi
Poetry | Syed Meesam Ali Mehdi
Composition | Ustad Akbar Abbas
Chorus | Rizwan Mirza & Team
Audio Master & Mixing | ODS Karachi
Video Editing | Raza Tirmazi
Graphics | MA Creations (Minhaj Ahmed)

Zahra sa Sitam Utthaati Rahi Lyrics Noha Lyrics

Supurd-e-khaak jo Haider ne Fatima ko kiya
To phir mazaar-e-Payambar pe ki ye jaa ke buka

Main kya bataaoon jo Zahra sitam utthaati rahi
Har aik gaam pe ummat usay sataati rahi

Dar-e-Batool gira tha Batool pe jis din
Shikasta pehlu se takleef mein wo thi lekin
Har aik aah mein Mohsin ka gham utthaati rahi

Galay mein daalay rasan mujh jo le chalay jo shaqi
Bachaanay Zahra ko aagay nahi barha koi
Madad ke waastay Fizza ko wo bulaati rahi

Fidak ka dard na tha us ko bus ye khadsha tha
Madinay waalay na haq bhool jaaen Haider ka
Ghadeer yaad har ik ko wo yoon dilaati rahi

Ali hoon sher-e-Khuda hoon magar main seh na saka
Jo waqt-e-ghusl nazar aaya pehlu-e-Zahra
Qaza bhi hichkiyaan le le ke roti jaati rahi

Zamaanay kaise ye aaey hain mujh pe ghurbat ke
Nishaan banaaey jo chaalees main ne turbat ke
Meri ghareebi hee noha mera sunaati rahi

Hon kyun na aap se sharminda ye bataatay hooway
Ke main ne dekha usay taaziyaanay khaatay hooway
Zameen pe gir ke bhi aaqa wo larkharaati rahi

Haan main ne dekha hai rukh par nishaan tamaachay ka
Magar ye raaz hai kya jub talak rahi zinda
Hassan ki nazron se chehre ko kyun chupaati rahi

Main jub bhi guzra wahaan se to main ne ye dekha
Laga abhi bhi hai deewaar par lahu us ka
Ye soch hee meri ghairat ko khoon rulaati rahi

Ye keh ke ruk gaey Meesam na jaanay kyun Mola
Malaal ye hai mujhe main usay bacha na saka
Jo duray khaa ke laeen se mujhe bachaati rahi

Post a Comment

0 Comments