New Manqabat 2022 | MOLA HASAN KA DASTARKHWAN | Ali Raza Irani | Dastarkhwan Manqabat 2022 | 1443
Video Details:
👉🏻Reciter: Ali Raza Irani
👉🏻Poet: Mazhar Lucknowi
👉🏻Composition: Ali Raza Irani
👉🏻Backing Vocals: RizwanMirza & Team
👉🏻Arrangement: Aamir Qureshi
👉🏻Vocal Record: AVR Studio ( Aashish Paliwal )
👉🏻Audio Recording: Ovais Qureshi
👉🏻Mix/Mastered: M. Omar Qureshi (ODS )
👉🏻Director: Mahdi Hasan Irani
👉🏻Video Edit: Mazhar Lucknowi
👉🏻Label: Ali Raza Irani
Hamare Ghar Me Hai Mola Hasan Ka KALAM LYRICS
Jo rizq deta hai sabko ye hai usi ka karam
Wo jiske hone ki pahchan hai jahan me haram
Ye ahtemam jo hum ne kia hai uski qasam
Hai misle khuld hamare ghareeb khane ki shan
Hamare ghar me hai mola hasan ka dastarkhwan
Dastarkhwane imame hasan dastarkhwane imame hasan
Humare ghar me hai mola hasan ka dastarkhawan
Hai aane walo me pahla mere hussain ka naam
Hame yaqeen hai aayenge karbala se imam
Bicha ke baithe hain palke bulaye hai mehman
Jo nemate kabhi dekhi nahi thi wo bhi hain
Ye nemate hame mola hasan ne bakhshi hain
Mila hai humko vilaye ali ka ye faizan
Ye intezam ye raunaq ye shan aur shaukat
Nuzule rahmate baari hai rizq me barkat
Palat ke bhukha na jayega koi bhi insan
Ali ke laal ki hai nazr aap bhi aayen
Nabi ke chahne walo ko saath me laayen
Guzarish aap se hai ye abuzaro salman
Khazana khol ke dil ka hasan ki ulfat me
Lutaya jitna izafa hai dekha izzat me
Mili hai humko isi nazr se nai pahchan
Tabaq taza phalo ke hain mewajat ke khan
Wo zafran ka sharbat piye jo har insan
Laziz khane hain sab ke liye hai ye aelan
Ye nazr khas hai masoom de to kya kahna
Zaban se aap ki soore durust honge adaa
Imam aaiyye keeje ghareeb par ahsaan
Dia hai hamko mohammad ne sadqaye shabbar
Khuda ka shukr hai mahdi hasan raza mazhar
Wo waqt aa gaya jiska tha qalb me armaan
0 Comments