Ayam E Fatima Noha 2022 | Yaad Aaogi Zahra | Ali Akbar Ameen Noha 2022 | Noha Bibi Fatima Zahra 2022
Title - Yaad Aaogi Zahra
Related - Noha Shahadat Bibi Fatima Zahra (sa) 2022/1443
Reciter - Ali Akbar Ameen
Poetry - Abbas Sirsvi
Composition - Raza Shah
Audio - ODS
Chorus - Khan Brothers
Edit - Azmat Hyder
Video - @Azadari Chitora
Year - Ayam E Fatima 1443/2022 | 2nd Noha Shahadat E Fatima Zahra
YAAD AAOGI ZEHRA LYRICS
Ali bana chuke jab fatema ki turbat ko
Bayan karne lage roke apni ghurbat ko
Matla
Ye turbate Zehra pa Ali karte they noha ..yad aaogi Zehra
Ab baad tumhare ye Ali kaise jiyga ..yaad aaogi Zehra
Aangan me lahu royegi rakkhi huyi chakki
Dhundegi ab in hatho ko tasbeeh tumhari
Rakkha hua hujre me jo dekhunga musalla ..yad aaogi Zehra
Ghar jana mujhe ek aziyat so lagegi
Rakhte he qadam ghr me churi dil pa chalegi
Darwaze ki mekhon me lahu jab bhi dikhega ...yad aaogi Zehra
Jalte huye dekhunga agar aag kahi per
Aankho me utar aayega darwaze ka manzar
Masoom ke mare ga koi jab bhi tamacha... Yaad aaogi Zehra
Ye bhi hai khabar saniye Zehra bhi hai ghar me
Utthega bohtt dard mere qalbo jigar me
Zainab me nazar aayega jab apka chehra ...yaad aaogi Zehra
Pakde huye pehlu ko jo ro roke siyaa tha
Jo aakhiri ayyam me zainab ko diya tha
Abbas ko jis waqt wo pehnayegi kurta ...yad aaogi Zehra
Ab tak me yehi soch ke gham se nhi nikla
Mohsin ka janaza bhi shikam se nhi nikla
Kis dard me zinda thi nahi bhul sakunga ...yaad aaogi Zehra
Batlaao to baccho ko zara kaise me paalu
Or zainabo kulsum ko kis tarha sambhalu
Hasnain karenge jo mere samne girya....yaad aaogi Zehra
Kis darja khayal apko rehta tha Ali ka
Rakkhega bhala kon Khayal apke jaisa
Khana jo mere samne ab layegi fizza ...yaad aaogi Zehra
Rounga bohtt shame ghareeba me tadap kar
Aankho me utar aayega darwaze ka manzar
kurta jo jala apna dikhayegi sakina ....yaad aaogi Zehra
Tadfeen huyi fatema zehra ki batane
Ummat ne jo dhaye hen sitam unko sunane
Jaaunga me jab qabre payambar pa akela ...yaad aaogi Zehra
Maqta ..
ABBAS uthe qabr se phir faatahe khaibar
Kehne lage AKBAR wo kamar apni pakad kar
0 Comments